mujhe uDte parinde achchhe lagte hain
mujhe uḌte parinde achchhe lagte haiñ
sharārat se kabhī ye āsmāñ ko chhū kar aate haiñ
kabhī bādal meñ chhupte haiñ
sitāroñ ke shanāsā
chāñd se un kī rifāqat hai
ye nā-ma.alūm aur an-dekhī duniyāoñ ke vāqif
ham se zyāda jānte haiñ
āsmāñ ke baare meñ
vus.at ke baare meñ
mujhe uḌte parinde achchhe lagte haiñ
fazā kī be-karāñ vus.at meñ
ye uḌte parinde raqs karte haiñ
to lagtā hai ki jaise zindagī kā husn
in ke bāzuoñ
in ke paroñ meñ qaid hai
ye uḌte haiñ
na zanjīr-e-girāñ hai koī paañv meñ
na gardan meñ koī tauq-e-ġhulāmī hai
ki jo insān kī ḳhud-dārī ye
insāniyat pe
zarb-e-kārī
ek la.anat hai
ye uḌte haiñ
fazā meñ husn kī tasvīr bantī hai
ajab tahrīr bantī hai
ki jis meñ ḳhvāb mere haiñ
ye ḳhvāb āzādī ke
vus.at
farāz-e-zindagī ke
zindagī ke husn ke haiñ
aur āzādī
jo vus.at hai
farāz-e-zindagī hai
husn hai
jo parindoñ ke paroñ meñ saañs letī hai
mujhe uḌte parinde achchhe lagte haiñ
mujhe uDte parinde achchhe lagte hain
shararat se kabhi ye aasman ko chhu kar aate hain
kabhi baadal mein chhupte hain
sitaron ke shanasa
chand se un ki rifaqat hai
ye na-malum aur an-dekhi duniyaon ke waqif
hum se zyaada jaante hain
aasman ke bare mein
wusat ke bare mein
mujhe uDte parinde achchhe lagte hain
faza ki be-karan wusat mein
ye uDte parinde raqs karte hain
to lagta hai ki jaise zindagi ka husn
in ke bazuon
in ke paron mein qaid hai
ye uDte hain
na zanjir-e-giran hai koi panw mein
na gardan mein koi tauq-e-ghulami hai
ki jo insan ki KHud-dari ye
insaniyat pe
zarb-e-kari
ek lanat hai
ye uDte hain
faza mein husn ki taswir banti hai
ajab tahrir banti hai
ki jis mein KHwab mere hain
ye KHwab aazadi ke
wusat
faraaz-e-zindagi ke
zindagi ke husn ke hain
aur aazadi
jo wusat hai
faraaz-e-zindagi hai
husn hai
jo parindon ke paron mein sans leti hai
mujhe uDte parinde achchhe lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.