mulaqat karunga
tasvīr se kis tarah mulāqāt karūñgā
ye mujh se boltī nahīñ kyā baat karūñgā
ye phuul se ruḳhsār ye hoñToñ kī nazākat
ye shoḳh nigāhoñ se chhalaktī huī chāhat
dekhūñgā ise yūñhī jiyūñgā na marūñgā
ye mujh se boltī nahīñ kyā baat karūñgā
is yaad ko maiñ dil se basā.e to rahūñgā
tasvīr ko siine se lagā.e to rahūñgā
jazbāt kī tasvīr meñ kyā rang bharūñgā
ye mujh se boltī nahīñ kyā baat karūñgā
hai ek hī tasvīr ka.ī ruup haiñ is ke
ik husn kī tahrīr ka.ī ruup haiñ is ke
is ruup ke sāgar meñ na Dūbūñ na tirūñgā
ye mujh se boltī nahīñ kyā baat karūñgā
tasvīr se kis tarah mulāqāt karūñgā
ye mujh se boltī nahīñ kyā baat karūñgā
taswir se kis tarah mulaqat karunga
ye mujh se bolti nahin kya baat karunga
ye phul se ruKHsar ye honTon ki nazakat
ye shoKH nigahon se chhalakti hui chahat
dekhunga ise yunhi jiyunga na marunga
ye mujh se bolti nahin kya baat karunga
is yaad ko main dil se basae to rahunga
taswir ko sine se lagae to rahunga
jazbaat ki taswir mein kya rang bharunga
ye mujh se bolti nahin kya baat karunga
hai ek hi taswir kai rup hain is ke
ek husn ki tahrir kai rup hain is ke
is rup ke sagar mein na Dubun na tirunga
ye mujh se bolti nahin kya baat karunga
taswir se kis tarah mulaqat karunga
ye mujh se bolti nahin kya baat karunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.