Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mulaqat

Qamar Jameel

mulaqat

Qamar Jameel

MORE BYQamar Jameel

    bhūlī bisrī yādeñ ab bhī kānoñ meñ ras gholtī haiñ

    mujh se kaisī kaisī bāteñ tanhā.ī meñ boltī haiñ

    jaadū kaise kaise jaadū chalte haiñ gulzāroñ se

    gesū kaise kaise gesū uḌte haiñ ruḳhsāroñ se

    sham.eñ kaisī kaisī sham.eñ jaltī haiñ dīvāroñ par

    parde kaise kaise parde girte haiñ nazzāroñ par

    niiñd ke maate añdhiyāroñ zālim qātil raushniyāñ

    diye lau meñ jalne vaalī jhilmil jhilmil raushniyāñ

    naach rahī hai chāñd ke aage jaane kitnī kaalī dhuup

    raushniyoñ meñ Duub rahe haiñ jaane raat ke kitne ruup

    ḳhushbū ban ke phail chukī haiñ kitnī yādeñ kitne san

    laḌiyāñ ban ke TuuT chukī haiñ kitnī rāteñ kitne din

    vo yādeñ jo aañsū ban ke palkoñ par lahrātī haiñ

    jaane kin kin vīrānoñ meñ diye jalā kar aatī haiñ

    bhuli bisri yaaden ab bhi kanon mein ras gholti hain

    mujh se kaisi kaisi baaten tanhai mein bolti hain

    jadu kaise kaise jadu chalte hain gulzaron se

    gesu kaise kaise gesu uDte hain ruKHsaron se

    shamen kaisi kaisi shamen jalti hain diwaron par

    parde kaise kaise parde girte hain nazzaron par

    nind ke mate andhiyaron ki zalim qatil raushniyan

    diye ki lau mein jalne wali jhilmil jhilmil raushniyan

    nach rahi hai chand ke aage jaane kitni kali dhup

    raushniyon mein Dub rahe hain jaane raat ke kitne rup

    KHushbu ban ke phail chuki hain kitni yaaden kitne san

    laDiyan ban ke TuT chuki hain kitni raaten kitne din

    wo yaaden jo aansu ban ke palkon par lahraati hain

    jaane kin kin viranon mein diye jala kar aati hain

    Source :
    • Book : khvaab numaa (Pg. 24)
    • Author : qamar jameel
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now