munazzam manazir se aage
Interesting Fact
(Saughat, Banglore)
bahār aur ḳhizāñ maut aur zindagī ke munazzam manāzir se aage bhī
kuchh aise manzar haiñ
āñkhoñ kī jin tak rasā.ī nahīñ hai
shajar jis kī saarī jaḌeñ āsmānoñ meñ phailī haiñ
aur Tahniyāñ khurdurī saḳht laavā ugaltī zamīñ
ke badan meñ musalsal utartī chalī jā rahī haiñ
havā ke samundar meñ be-bādbāñ kashtiyoñ par darinde
lahū-rang ḳhushbū kī dīvār kā gahrā saaya
harī surḳh niilī siyah raushnī
raushnī kī lakīreñ
lakīroñ kī āvāz
āvāz kā dā.era
dā.ere aur nuqte meñ baḌhtā huā fāsla
fāsla aur safar
bahār aur ḳhizāñ maut aur zindagī ke munazzam manāzir se aage bhī
kuchh aise manzar haiñ āñkhoñ kī jin tak rasā.ī nahīñ hai
bahaar aur KHizan maut aur zindagi ke munazzam manazir se aage bhi
kuchh aise manzar hain
aankhon ki jin tak rasai nahin hai
shajar jis ki sari jaDen aasmanon mein phaili hain
aur Tahniyan khurduri saKHt lawa ugalti zamin
ke badan mein musalsal utarti chali ja rahi hain
hawa ke samundar mein be-baadban kashtiyon par darinde
lahu-rang KHushbu ki diwar ka gahra saya
hari surKH nili siyah raushni
raushni ki lakiren
lakiron ki aawaz
aawaz ka daera
daere aur nuqte mein baDhta hua fasla
fasla aur safar
bahaar aur KHizan maut aur zindagi ke munazzam manazir se aage bhi
kuchh aise manzar hain aankhon ki jin tak rasai nahin hai
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 31)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.