munni tere dant kahan hain
bachpan meñ jo nazm paḌhī thī maiñ ne ek risāle meñ
unvāñ us kā basā huā hai ab tak yaad ke jaale meñ
munnī se pūchhā thā kisī ne munnī tere daañt kahāñ haiñ
us kī bholī-bhālī bāteñ dekho bachcho darj yahāñ haiñ
be-dāñtoñ kā muñh munnī ne thoḌā sā phir kholā thā
aañsū bhar ke āñkhoñ meñ phir dukhiyārī ne bolā thā
daañt jo maiñ ne saat baras meñ duudh pilā kar paale the
in ko le ga.e chūhe jo sab lambī moñchhoñ vaale the
patjhaḌ kī ye rut thī lekin chand dinoñ aur rātoñ kī
ug aa.ī thī ek laḌī phir motī jaise dāñtoñ kī
jab naanī daadī ko dekhā to ham par ye raaz khulā
hotā hai ik baar hī bachcho jo kuchh is ke saath huā
saat baras ke daañt gireñ to be-shak vo ug jaate haiñ
lekin saaTh baras ke hoñ to lauT ke phir kab aate haiñ
bachpan mein jo nazm paDhi thi main ne ek risale mein
unwan us ka basa hua hai ab tak yaad ke jale mein
munni se puchha tha kisi ne munni tere dant kahan hain
us ki bholi-bhaali baaten dekho bachcho darj yahan hain
be-danton ka munh munni ne thoDa sa phir khola tha
aansu bhar ke aankhon mein phir dukhiyari ne bola tha
dant jo main ne sat baras mein dudh pila kar pale the
in ko le gae chuhe jo sab lambi monchhon wale the
patjhaD ki ye rut thi lekin chand dinon aur raaton ki
ug aai thi ek laDi phir moti jaise danton ki
jab nani dadi ko dekha to hum par ye raaz khula
hota hai ek bar hi bachcho jo kuchh is ke sath hua
sat baras ke dant giren to be-shak wo ug jate hain
lekin saTh baras ke hon to lauT ke phir kab aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.