muqaddas hath
mire haath kitne muqaddas
jo vaqt-e-duā arsh-e-a.azam ko chhū leñ
amiiñ haiñ mire āñsūoñ ke
jo dāman se pahle inhī par gire the
mire haath sab par muqaddam
jo taqdīr merī banāte rahe haiñ
jo taqdīr likhte likhāte rahe haiñ
lakīreñ mire haath meñ jo banī haiñ
inheñ chūmtā huuñ
inheñ rehl-o-juzdāñ kī hājat nahīñ hai
na ye taaq ke dāman-e-nā-rasā meñ
ye kashf-o-karāmat kī duniyā se aarī
ye harf-o-hikāyat se bebāk mutlaq
amal in kā pesha amal in kī jannat
ye jannat ke rahbar
duāoñ ke shahpar
mire haath kitne muqaddas
mere hath kitne muqaddas
jo waqt-e-dua arsh-e-azam ko chhu len
amin hain mere aansuon ke
jo daman se pahle inhi par gire the
mere hath sab par muqaddam
jo taqdir meri banate rahe hain
jo taqdir likhte likhate rahe hain
lakiren mere hath mein jo bani hain
inhen chumta hun
inhen rehl-o-juzdan ki hajat nahin hai
na ye taq ke daman-e-na-rasa mein
ye kashf-o-karamat ki duniya se aari
ye harf-o-hikayat se bebak mutlaq
amal in ka pesha amal in ki jannat
ye jannat ke rahbar
duaon ke shahpar
mere hath kitne muqaddas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.