muqaffal chup
maiñ ki guftār kā māhir thā jahāñ-dīda thā
log sunte the mirī aur sunāte bhī the
apne dukh-dard meñ Duubī huī saarī bāteñ
mas.ala kaun sā aisā thā jise hal na kiyā
aaj bhī bhiiḌ thī logoñ kī mire chāroñ-taraf
maiñ ne har ek ko bātoñ meñ sukūñ-yāb kiyā
phir koī duur se detā hai sadā kaun ho tum
aa.e ho kaun sī nagrī se zarā naam to lo
naam to maiñ ne batāyā use fauran apnā
aur maiñ kaun huuñ aayā huuñ maiñ kis nagrī se
maiñ ne jab ḳhud se ye pūchhā to musalsal chup thī
chāroñ-atrāf meñ sadiyoñ kī muqaffal chup thī
main ki guftar ka mahir tha jahan-dida tha
log sunte the meri aur sunate bhi the
apne dukh-dard mein Dubi hui sari baaten
masala kaun sa aisa tha jise hal na kiya
aaj bhi bhiD thi logon ki mere chaaron-taraf
main ne har ek ko baaton mein sukun-yab kiya
phir koi dur se deta hai sada kaun ho tum
aae ho kaun si nagri se zara nam to lo
nam to main ne bataya use fauran apna
aur main kaun hun aaya hun main kis nagri se
main ne jab KHud se ye puchha to musalsal chup thi
chaaron-atraf mein sadiyon ki muqaffal chup thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.