murajat
dahakte sūraj kā surḳh chehra
lapeT kar rakh diyā gayā hai
ḳhalā meñ sayyāre bikhre bikhre haiñ
jof-e-aflāk phaT paḌā hai
pahāḌ dhunke hue fazāoñ meñ tairte haiñ
athāh sāgar kaf-e-dahan se sulagte laave
ugal rahe haiñ
koī mire muntashir anāsir ko
phir se pahlā sā ruup de kar
kashāñ kashāñ le chalā hai goyā
jhulas rahā hai badan
mirī haDDiyāñ pighalne lagī haiñ
āñkhoñ meñ dekhne kī sakat salāmat hai
dekhtā huuñ har ek chehre meñ apne chehre kā aks
lekin kisī meñ pahchān kī jhalak tak nahīñ hai
har ek band muTThī meñ purza-hā-e-siyāh thāme
ye sochtā huuñ siyāhiyoñ ko dhulāūñ kaise
mire pas-e-pusht kaale aurāq
tez nazroñ kī zad meñ larzīda dam-ba-ḳhud haiñ
maiñ chīḳh uThtā huuñ
merī āvāz mere siine meñ ghuT rahī hai
maiñ haath uThātā huuñ
haath shal haiñ
duhā.ī detā huuñ
sunñe vaalā mire sivā koī bhī nahīñ hai
hazāroñ hamdam karoḌoñ ham-shakl haiñ
magar koī bhī nahīñ hai
dahakte suraj ka surKH chehra
lapeT kar rakh diya gaya hai
KHala mein sayyare bikhre bikhre hain
jof-e-aflak phaT paDa hai
pahaD dhunke hue fazaon mein tairte hain
athah sagar kaf-e-dahan se sulagte lawe
ugal rahe hain
koi mere muntashir anasir ko
phir se pahla sa rup de kar
kashan kashan le chala hai goya
jhulas raha hai badan
meri haDDiyan pighalne lagi hain
aankhon mein dekhne ki sakat salamat hai
dekhta hun har ek chehre mein apne chehre ka aks
lekin kisi mein pahchan ki jhalak tak nahin hai
har ek band muTThi mein purza-ha-e-siyah thame
ye sochta hun siyahiyon ko dhulaun kaise
mere pas-e-pusht kale auraq
tez nazron ki zad mein larzida dam-ba-KHud hain
main chiKH uThta hun
meri aawaz mere sine mein ghuT rahi hai
main hath uThata hun
hath shal hain
duhai deta hun
sunne wala mere siwa koi bhi nahin hai
hazaron hamdam karoDon ham-shakl hain
magar koi bhi nahin hai
- Book : Sarhane Ka Charagh (Pg. 13)
- Author : Azeez Tamannai
- Publication : Modern Publishing House, New Delhi (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.