murajat-e-ishq
eshiyā.ī mohabbat meñ taaza shumāra nikaltā nahīñ
des vāloñ ne aisī muravvat sikhā.ī ki tartīb se jal rahe haiñ charāġh
aur chaqmāq se raushnī kā nayā ik sharāra nikaltā nahīñ
is aziyyat-bharī zindagī meñ ubūrī zamānat kī koī suhūlat nahīñ
ābshāroñ ke jharne saroñ ko jhukā.e hue gir rahe haiñ
zamīñ apnī gardish ke tābūt meñ qaid hai
aur tābūt meñ hai merī zindagī
jān-e-jānāñ suno
bhaag kar aa gayā huuñ sar-e-shām dariyā kināre gumāñ meñ hai terā dvāra
zamāne meñ aise to mumkin nahīñ hai ki mandir meñ sar ko jhukā.e rahe har pujārī
ki girjoñ kī chhatoñ pe laTkī rahīñ be-sadā ghanTiyāñ
peT bharne ke jitne tarīqe sahī chhoḌ saktā huuñ maiñ
tāqchoñ kī darāḌoñ se aatī huī raushnī chhoḌ saktā nahīñ
jān-e-jānāñ suno
ye haḌappa kā paanī darāviḌ ke bahte hue pāniyoñ se milā chāhtā hai
eshiyai mohabbat mein taza shumara nikalta nahin
des walon ne aisi murawwat sikhai ki tartib se jal rahe hain charagh
aur chaqmaq se raushni ka naya ek sharara nikalta nahin
is aziyyat-bhari zindagi mein uburi zamanat ki koi suhulat nahin
aabshaaron ke jharne saron ko jhukae hue gir rahe hain
zamin apni gardish ke tabut mein qaid hai
aur tabut mein hai meri zindagi
jaan-e-jaanan suno
bhag kar aa gaya hun sar-e-sham dariya kinare guman mein hai tera dwara
zamane mein aise to mumkin nahin hai ki mandir mein sar ko jhukae rahe har pujari
ki girjon ki chhaton pe laTki rahin be-sada ghanTiyan
peT bharne ke jitne tariqe sahi chhoD sakta hun main
taqchon ki daraDon se aati hui raushni chhoD sakta nahin
jaan-e-jaanan suno
ye haDappa ka pani darawiD ke bahte hue paniyon se mila chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.