musafir
hai apnī āḳhirī manzil shafaq-zāroñ kī vaadī meñ
jahāñ hotā hai āvāra tabassum lāla-zāroñ meñ
jahāñ gītoñ kī pariyāñ kheltī haiñ ābshāroñ meñ
jahāñ mastī meñ aa kar phuul ḳhushbūeñ luTāte haiñ
jahāñ chashme mohabbat ke ḳhudā ke giit gaate haiñ
jahāñ har sū fazā par ḳhūbsūrat ḳhvāb chhā.e haiñ
jahāñ sehn-e-chaman meñ abr ke rangīn saa.e haiñ
jahāñ chashmoñ kī lahroñ par masarrat raqs kartī hai
jahāñ kī zindagī husn aur naġhmoñ meñ guzartī hai
jahāñ apnā gayā-guzrā zamāna yaad aatā hai
jahāñ biitā huā rangīñ fasāna yaad aatā hai
baḌhe jaatā huuñ nā-ma.alūm naġhmoñ kī sadāoñ meñ
koī mujh ko liye jaatā hai un rangīñ fazāoñ meñ
mujhe is chāñd aur tāroñ kī bastī se guzarnā hai
mujhe qaus-e-quzah kī vādiyoñ meñ sair karnā hai
havā.eñ raqs kartī haiñ fazā.eñ muskurātī haiñ
sadā.eñ aa rahī haiñ jaise pariyāñ mil ke gaatī haiñ
shafaq-zāroñ kī vaadī niiñd aur ḳhvāboñ kī vaadī hai
shafaq zāroñ kī vaadī husn aur naġhmoñ kī vaadī hai
hai apnī āḳhirī manzil shafaq-zāroñ kī vaadī meñ
hai apni aaKHiri manzil shafaq-zaron ki wadi mein
jahan hota hai aawara tabassum lala-zaron mein
jahan giton ki pariyan khelti hain aabshaaron mein
jahan masti mein aa kar phul KHushbuen luTate hain
jahan chashme mohabbat ke KHuda ke git gate hain
jahan har su faza par KHubsurat KHwab chhae hain
jahan sehn-e-chaman mein abr ke rangin sae hain
jahan chashmon ki lahron par masarrat raqs karti hai
jahan ki zindagi husn aur naghmon mein guzarti hai
jahan apna gaya-guzra zamana yaad aata hai
jahan bita hua rangin fasana yaad aata hai
baDhe jata hun na-malum naghmon ki sadaon mein
koi mujh ko liye jata hai un rangin fazaon mein
mujhe is chand aur taron ki basti se guzarna hai
mujhe qaus-e-quzah ki wadiyon mein sair karna hai
hawaen raqs karti hain fazaen muskuraati hain
sadaen aa rahi hain jaise pariyan mil ke gati hain
shafaq-zaron ki wadi nind aur KHwabon ki wadi hai
shafaq zaron ki wadi husn aur naghmon ki wadi hai
hai apni aaKHiri manzil shafaq-zaron ki wadi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.