musalahat
maiñ bhī na pūchhūñ tum bhī na pūchho
mere maazī kī peshānī
kitne butoñ ko puuj chukī hai
kitne sajdoñ kī tābānī
chaukhaT chaukhaT baañT chukī hai
mere maazī ke tāqoñ meñ
kitnī sham.eñ pighal chukī haiñ
kitne dāman ḳhaak hue haiñ
tum bhī na pūchho maiñ bhī na pūchhūñ
tum ne ye shādāb javānī
kaise aur kis tarah guzārī
in āñkhoñ ke paimānoñ meñ
kitne aks utāre tum ne
kitne ḳhvāb sajā.e tum ne
shahar ke kitne dīvānoñ se
qaul-o-qasam iqrār kiye haiñ
kitne garebāñ chaak hue haiñ
tum bhī na pūchho maiñ bhī na pūchhūñ
vo dekho vo kal hai hamārā
chhoTā sā ghar sajā-sajāyā
ham tum baiThe ik kamre meñ
taash kī baazī khel rahe haiñ
main bhi na puchhun tum bhi na puchho
mere mazi ki peshani
kitne buton ko puj chuki hai
kitne sajdon ki tabani
chaukhaT chaukhaT banT chuki hai
mere mazi ke taqon mein
kitni shamen pighal chuki hain
kitne daman KHak hue hain
tum bhi na puchho main bhi na puchhun
tum ne ye shadab jawani
kaise aur kis tarah guzari
in aankhon ke paimanon mein
kitne aks utare tum ne
kitne KHwab sajae tum ne
shahar ke kitne diwanon se
qaul-o-qasam iqrar kiye hain
kitne gareban chaak hue hain
tum bhi na puchho main bhi na puchhun
wo dekho wo kal hai hamara
chhoTa sa ghar saja-sajaya
hum tum baiThe ek kamre mein
tash ki bazi khel rahe hain
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 32)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.