mashīnoñ se use nafrat thī
lekin kār-ḳhāne meñ
mashīnoñ ke sivā
un kā koī hamdam na sāthī thā
vo ḳhvāboñ kā musavvir jis ke ḳhvāboñ meñ umūman
talḳhiyāñ bhī rañg bhartī thiiñ
kabhī maañ kī davā bahnoñ kī shādī
kabhī yād-e-vatan kī chāshnī visky kī kaḌvāhaT
to us ke apne andar kā musavvir
us se kahtā thā
maiñ qaidī huuñ mujhe bāhar nikālo
mujhe iz.hār ke sāñchoñ meñ rakh kar
libās-e-shām pahnā do
sahar kī tāzgī le kar mujhe rañgoñ se nahlā do
magar ik din use kū-e-malāmat se nikalnā thā
mashīneñ chal rahī thiiñ aur us kā haath
us ke jism se kaT kar
zamīñ par gir paḌā thā
vahīñ maañ kī davā bahnoñ kī mehñdī
aur biima kī raqam lahū meñ tar-ba-tar thī
mashinon se use nafrat thi
lekin kar-KHane mein
mashinon ke siwa
un ka koi hamdam na sathi tha
wo KHwabon ka musawwir jis ke KHwabon mein umuman
talKHiyan bhi rang bharti thin
kabhi man ki dawa bahnon ki shadi
kabhi yaad-e-watan ki chashni wisky ki kaDwahaT
to us ke apne andar ka musawwir
us se kahta tha
main qaidi hun mujhe bahar nikalo
mujhe izhaar ke sanchon mein rakh kar
libas-e-sham pahna do
sahar ki tazgi le kar mujhe rangon se nahla do
magar ek din use ku-e-malamat se nikalna tha
mashinen chal rahi thin aur us ka hath
us ke jism se kaT kar
zamin par gir paDa tha
wahin man ki dawa bahnon ki mehndi
aur bima ki raqam lahu mein tar-ba-tar thi
- Book : Pakistani Adab (Pg. 92)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.