mutalba
ye kyā huā
ki tīrgī se shaam kī ḳhalīj paaT dī ga.ī
ye kyā huā
mirī ḳhamoshiyoñ kī har sadā
jahāñ ke shor-o-ġhul se kaaT dī ga.ī
ye kyā huā ki aaj kā bhī din tamām ho gayā
abhī ba-vaqt-e-sub.h sirf sub.h thā
zarā sī der baa'd shaam ho gayā
to kitnā ḳharch ho chukā huuñ
kitnā rah gayā huuñ maiñ
mujhe hisāb chāhiye
vahī savāl aaj is ko phir javāb chāhiye
ye aañkh shor kar rahī hai is ko ḳhvāb chāhiye
shab-e-siyāh aaj mujh ko māhtāb chāhiye
sharāb chāhiye
ye kya hua
ki tirgi se sham ki KHalij paT di gai
ye kya hua
meri KHamoshiyon ki har sada
jahan ke shor-o-ghul se kaT di gai
ye kya hua ki aaj ka bhi din tamam ho gaya
abhi ba-waqt-e-subh sirf subh tha
zara si der ba'd sham ho gaya
to kitna KHarch ho chuka hun
kitna rah gaya hun main
mujhe hisab chahiye
wahi sawal aaj is ko phir jawab chahiye
ye aankh shor kar rahi hai is ko KHwab chahiye
shab-e-siyah aaj mujh ko mahtab chahiye
sharab chahiye
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 127)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.