muTThi se phisalti nirwan ki ret
Interesting Fact
(گوتم بدھ کی مورتی دیکھ کر)
siddhārth
aaj to sadiyoñ kī hairānī liye in pattharoñ kī qaid sahtā hai
paḌī hai dhuul jin par an-ginat ohdoñ ke rastoñ kī
ayaañ haiñ kis qadar gahrī darāḌeñ jin pe vaqtoñ kī
to āñkheñ band kar ke aaj bhī
irfān ke anjān lamhe ke fusūñ meñ hai
ye tere shānt chehre par tabassum khiltā jaatā hai
vahī lamha
ki jis kī justujū meñ tū ghane jangal ke andar gum rahā barsoñ
magar paayā to kyā paayā
faqat nirvān kī ek ḳhushk sī Tahnī
jise tū ye samajh baiThā
ki ye hai qasr-e-māyā kī koī nāyāb sī kunjī
buḌhāpā maut bīmārī kā dukh tujh par abhī tak khilkhilātā hai
jise tū chhoḌ kar bastī se bhāgā thā
siddhārth
apnī āñkheñ khol
apne man ke kāġhaz par likhī duniyā se bāhar aa
jahāñ patjhaḌ kā mausam hai
jahāñ par barf girtī hai
vo bargad jis kī chhāyā meñ tū apne ḳhvāb buntā thā
vahī jangal
ki jis meñ shāñtī ke phuul khilte the
vo sab kuchh kaT chukā hai
ab vahāñ ik shahr phailā hai
tire nirvān ke lamhe se jis kā fāsla hai tiis sadiyoñ kā
kapilvastu ke shahzāde
tū bhūkā hai
tire kamzor se tan par koī kapḌā nahīñ hai
aur bāhar ThanD hai
aur haath meñ sikka nahīñ koī
chal uTh
tujh ko kisī mill meñ kahīñ naukar karā aa.uuñ
siddhaarth
aaj to sadiyon ki hairani liye in pattharon ki qaid sahta hai
paDi hai dhul jin par an-ginat ohdon ke raston ki
ayan hain kis qadar gahri daraDen jin pe waqton ki
to aankhen band kar ke aaj bhi
irfan ke anjaan lamhe ke fusun mein hai
ye tere shant chehre par tabassum khilta jata hai
wahi lamha
ki jis ki justuju mein tu ghane jangal ke andar gum raha barson
magar paya to kya paya
faqat nirwan ki ek KHushk si Tahni
jise tu ye samajh baiTha
ki ye hai qasr-e-maya ki koi nayab si kunji
buDhapa maut bimari ka dukh tujh par abhi tak khilkhilata hai
jise tu chhoD kar basti se bhaga tha
siddhaarth
apni aankhen khol
apne man ke kaghaz par likhi duniya se bahar aa
jahan patjhaD ka mausam hai
jahan par barf girti hai
wo bargad jis ki chhaya mein tu apne KHwab bunta tha
wahi jangal
ki jis mein shanti ke phul khilte the
wo sab kuchh kaT chuka hai
ab wahan ek shahr phaila hai
tere nirwan ke lamhe se jis ka fasla hai tis sadiyon ka
kapilwastu ke shahzade
tu bhuka hai
tere kamzor se tan par koi kapDa nahin hai
aur bahar ThanD hai
aur hath mein sikka nahin koi
chal uTh
tujh ko kisi mill mein kahin naukar kara aaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.