murakh parinda
vo har sub.h ik ḳhūbsūrat sā chhoTā parinda
udhar mere kamre kī khiḌkī pe baiThā
udaas āñkhoñ se is tarah dekhtā thā
ki jaise use
uḌ na sakne pe mere lagātār rahm aa rahā ho
magar
vo ki mūrakh parinda hai aur jāntā hī nahīñ hai
ki uḌnā mujhe to achchhā lage hai
aur na chāhūñ maiñ uḌnā
maiñ kashmīr ke ek chhoTe se ghar meñ thī shādāñ
pyaar kī saaf suthrī fazā meñ ghirī
udhar merī chhoTī sī duniyā ke māhaul meñ thī
pahāḌoñ ke biich
merī maañ kī mohabbat
jahāñ merā har girtā aañsū
vo jhaT chuum kar
haTā detī nazroñ se duur
wo har subh ek KHubsurat sa chhoTa parinda
udhar mere kamre ki khiDki pe baiTha
udas aankhon se is tarah dekhta tha
ki jaise use
uD na sakne pe mere lagatar rahm aa raha ho
magar
wo ki murakh parinda hai aur jaanta hi nahin hai
ki uDna mujhe to achchha lage hai
aur na chahun main uDna
main kashmir ke ek chhoTe se ghar mein thi shadan
pyar ki saf suthri faza mein ghiri
udhar meri chhoTi si duniya ke mahaul mein thi
pahaDon ke bich
meri man ki mohabbat
jahan mera har girta aansu
wo jhaT chum kar
haTa deti nazron se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.