murti-car
us kī hathelī miTTī se lipTī huī thī
chehre pe us ke kisī baat kī jaldī thī
sūraj ab apne ast par thā
aur lauT rahe the ghar ko parinde
kal gharoñ meñ manegā tyauhār hai
logoñ ke āñgan virājeñgī ye mūrtiyāñ
logoñ ke liye ye bhagvān hai
aur mere haath meñ hoñgī kuchh ashrafiyāñ
yahī soch kar maiñ der tak baiThā huuñ
ki koī ḳharīdār to bachā hogā
jo le jaa.e ye miTTī kī mūrat
aur merī jeb meñ do rūpaya to hogā
phir maiñ bhī ek mūrtī ḳharīd luuñ
aur bachchoñ ko kahūñ ki vo thaal sajā.e
le jā.ūñgā phuul aur thoḌī miThā.ī
bhagvān se kahūñ ki de de thoḌī sī kamā.ī
roz kitnī der tak karūñ meñ yuuñ intizār
añdhere meñ miTTī ke diye jalāne tak kā tel nahīñ hai
phir din raat kyuuñ banā.ūñ maiñ terī mūrat
jab mere hālatoñ kā koī saver nahīñ hai
he īshvar tere chaukhaT par to sabhī barābar haiñ
mandir meñ baiThā tū isī mūrtī-car ke ghar se jaatā hai
to kyā ḳhush honā merā adhikār nahīñ
yā tujhe ākār denā merā punny nahīñ
us ki hatheli miTTi se lipTi hui thi
chehre pe us ke kisi baat ki jaldi thi
suraj ab apne ast par tha
aur lauT rahe the ghar ko parinde
kal gharon mein manega tyauhaar hai
logon ke aangan wirajengi ye murtiyan
logon ke liye ye bhagwan hai
aur mere hath mein hongi kuchh ashrafiyan
yahi soch kar main der tak baiTha hun
ki koi KHaridar to bacha hoga
jo le jae ye miTTi ki murat
aur meri jeb mein do rupaya to hoga
phir main bhi ek murti KHarid lun
aur bachchon ko kahun ki wo thaal sajae
le jaunga phul aur thoDi miThai
bhagwan se kahun ki de de thoDi si kamai
roz kitni der tak karun mein yun intizar
andhere mein miTTi ke diye jalane tak ka tel nahin hai
phir din raat kyun banaun main teri murat
jab mere haalaton ka koi sawer nahin hai
he ishwar tere chaukhaT par to sabhi barabar hain
mandir mein baiTha tu isi murti-car ke ghar se jata hai
to kya KHush hona mera adhikar nahin
ya tujhe aakar dena mera punny nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.