muzahimaton ke ahd-nigar
un se kahnā ki vo
apnī is jañg meñ
ab akele nahīñ
aaj kī jañg sab kī hai
aur saare vaqtoñ kī hai
apne apne mahāzoñ kī dahlīz par
ham bhī morcha-band aur saf-ba-saf un ke ham-dosh haiñ
ham ki ḳhāmosh haiñ
ham ki ḳhāmosh haiñ ketlī kā talātum nahīñ
chīḳhne ke hunar-shanāsā nahīñ
be-mahal halq-bāzoñ
añdhere ke af-af-zanoñ kī tarah
un se kahnā
ki ham lamhe lamhe ke hamrā dhaḌakte hue
apne hone kī har shakl par
ḳhud gavāhī bane
aaj kī jañg meñ
un ke ham-dosh haiñ
aur sar-e-sīna-o-dosh tāñbā nā lohā magar ham nihatte nahīñ
amn bhī haiñ mohabbat bhī ham
razm bhī dars-e-ibrat bhī ham
sidq ke zor se
fikr kī kaaT aur dard kī dhaar se lais shamshīr-e-ḳhāma siper-e-lauh ham
un se kahnā
ki jo aaj kī jañg vo laḌ rahe haiñ
vo sab kī hai aur saare vaqtoñ kī
aur un kī tarah
ham bhī is jañg meñ
apne apne mahāzoñ pe parcham-kushā
in ke ham-dosh haiñ
apne ādarsh kī chaukiyoñ ke nigah-dār ġhāfil nahīñ
garche ḳhāmosh haiñ
un se kahna ki wo
apni is jang mein
ab akele nahin
aaj ki jang sab ki hai
aur sare waqton ki hai
apne apne mahazon ki dahliz par
hum bhi morcha-band aur saf-ba-saf un ke ham-dosh hain
hum ki KHamosh hain
hum ki KHamosh hain ketli ka talatum nahin
chiKHne ke hunar-shanasa nahin
be-mahal halq-bazon
andhere ke af-af-zanon ki tarah
un se kahna
ki hum lamhe lamhe ke hamra dhaDakte hue
apne hone ki har shakl par
KHud gawahi bane
aaj ki jang mein
un ke ham-dosh hain
aur sar-e-sina-o-dosh tanba na loha magar hum nihatte nahin
amn bhi hain mohabbat bhi hum
razm bhi dars-e-ibrat bhi hum
sidq ke zor se
fikr ki kaT aur dard ki dhaar se lais shamshir-e-KHama siper-e-lauh hum
un se kahna
ki jo aaj ki jang wo laD rahe hain
wo sab ki hai aur sare waqton ki
aur un ki tarah
hum bhi is jang mein
apne apne mahazon pe parcham-kusha
in ke ham-dosh hain
apne aadarsh ki chaukiyon ke nigah-dar ghafil nahin
garche KHamosh hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 310)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.