na jaane kyon
ab jo vo paas se katrā ke guzar jaate haiñ
be-ḳhudī meñ koī taqsīr huī hai shāyad
ab jo vo aañkh milāte hue sharmāte haiñ
zauq-e-āvāra kī tash.hīr huī hai shāyad
ab vo uglā sā unheñ zauq-e-takallum bhī nahīñ
un ke tarshe hue hoñToñ pe tabassum bhī nahīñ
yā to vo bār-e-javānī se pareshān se haiñ
yā unheñ chheḌtī rahtī hai mohabbat kī nazar
yā tamannāoñ ne tūfān uThā rakkhā hai
yā khaTaktī hai kaleje meñ sharārat kī nazar
varna yuuñ bantī huī baat bigaḌtī hai kabhī
jo nazar mil ga.ī ik baar vo laḌtī hai kabhī
ab jo wo pas se katra ke guzar jate hain
be-KHudi mein koi taqsir hui hai shayad
ab jo wo aankh milate hue sharmate hain
zauq-e-awara ki tashhir hui hai shayad
ab wo ugla sa unhen zauq-e-takallum bhi nahin
un ke tarshe hue honTon pe tabassum bhi nahin
ya to wo bar-e-jawani se pareshan se hain
ya unhen chheDti rahti hai mohabbat ki nazar
ya tamannaon ne tufan uTha rakkha hai
ya khaTakti hai kaleje mein shararat ki nazar
warna yun banti hui baat bigaDti hai kabhi
jo nazar mil gai ek bar wo laDti hai kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.