na rahne ka dukh
ik aisā lamha aa.egā
jab kāñpegī shāḳhoñ par rañgoñ kī lau
aur ḳhushbū mar jā.egī
jin āñkhoñ ne sab samtoñ par phailī huī niilī chādar ko
aur sūraj ko dekhā hogā
aur sitāre dekhe hoñge
aur ye duniyā
insānoñ se ladī huī ma.asūm sī duniyā dekhī hogī
vo na raheñgī
diloñ ke andar basne vaale jazbe thak kar socheñge
jitnī bhī kaifiyateñ haiñ
saarī mayyateñ ban jā.eñgī
tū na rahegī
maiñ na hūñgā
ham donoñ ne mil kar jitne peḌ lagā.e
vo na raheñge
kuchh na rahegā
na rahne ke dukh ke sivā
ek aisa lamha aaega
jab kanpegi shaKHon par rangon ki lau
aur KHushbu mar jaegi
jin aankhon ne sab samton par phaili hui nili chadar ko
aur suraj ko dekha hoga
aur sitare dekhe honge
aur ye duniya
insanon se ladi hui masum si duniya dekhi hogi
wo na rahengi
dilon ke andar basne wale jazbe thak kar sochenge
jitni bhi kaifiyaten hain
sari mayyaten ban jaengi
tu na rahegi
main na hunga
hum donon ne mil kar jitne peD lagae
wo na rahenge
kuchh na rahega
na rahne ke dukh ke siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.