na tum qarib aao
mire ḳhayāl pe jaise ki chhā ga.e ho tum
dil-o-nigāh meñ goyā samā ga.e ho tum
ik ajnabī ho magar paas aa ga.e ho tum
na jaane kaun sā jaadū jagā ga.e ho tum
ḳhudā ke vāste itnā na tum qarīb aao
tumhārī sāñvlī sūrat meñ shām-e-hijrāñ hai
udaas āñkhoñ meñ kuchh vahshat-e-ġhazālāñ hai
laboñ pe shikva-e-ḳhāmosh ranj-e-daurāñ hai
qarīb-e-dil mire jaise koī ġhazal-ḳhvāñ hai
ḳhudā ke vāste itnā na tum qarīb aao
maiñ ḳhud huuñ ābla-pā kam-nasīb ḳhāk-basar
hai merī bazm farozāñ ba-faiz-e-dāġh-e-jigar
bhalā kahāñ maiñ kahāñ fursat-e-fareb-e-nazar
hai phir bhī ḳhvāhish-e-dīdār aur dīda-e-tar
ḳhudā ke vāste itnā na tum qarīb aao
ye qurb-e-rūh bhī kitnā 'ajab mu'ammā hai
sukūn-e-dil bhī hai aur dard-e-be-mudāvā hai
kisī janam kī mohabbat kā kyā ye tohfa hai
ki ḳhvāb meñ bhī zabāñ par tumhārā qissa hai
ḳhudā ke vāste itnā na tum qarīb aao
mere KHayal pe jaise ki chha gae ho tum
dil-o-nigah mein goya sama gae ho tum
ek ajnabi ho magar pas aa gae ho tum
na jaane kaun sa jadu jaga gae ho tum
KHuda ke waste itna na tum qarib aao
tumhaari sanwli surat mein sham-e-hijran hai
udas aankhon mein kuchh wahshat-e-ghazalan hai
labon pe shikwa-e-KHamosh ranj-e-dauran hai
qarib-e-dil mere jaise koi ghazal-KHwan hai
KHuda ke waste itna na tum qarib aao
main KHud hun aabla-pa kam-nasib KHak-basar
hai meri bazm farozan ba-faiz-e-dagh-e-jigar
bhala kahan main kahan fursat-e-fareb-e-nazar
hai phir bhi KHwahish-e-didar aur dida-e-tar
KHuda ke waste itna na tum qarib aao
ye qurb-e-ruh bhi kitna 'ajab mu'amma hai
sukun-e-dil bhi hai aur dard-e-be-mudawa hai
kisi janam ki mohabbat ka kya ye tohfa hai
ki KHwab mein bhi zaban par tumhaara qissa hai
KHuda ke waste itna na tum qarib aao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.