na-malum
dev-malāoñ ke sutūnoñ par khaḌī hone vaalī deviyāñ
shahzādoñ ke parastār hone kā intizār kartī haiñ
ek shahzāde ko harām-zāda banñe meñ
faqat kisī shaah kī shah darkār hotī hai
harām-zadgī bahar-hāl ek kaifiyat hai
jabki harām-kārī ek amal
chūñki a.amāl kā dār-o-madār niyyatoñ par hai
is liye deviyoñ par shak karnā himāqat hai
magar Descartes kā kahnā hai
sach ke idrāk ke liye shak nā-guzīr hai
sach vahī hai jo devmālā.ī nahīñ hai
sach vo bhī hai jo nafī ke munāfī hai
magar nafī ba-zāt-e-ḳhud hone kī dalīl hai
man-ghaḌañt devtāoñ ke haañ aurat zalīl hai
jabki aurat ke yahāñ quvvat-e-taḳhlīq hai
taḳhlīq se magar tāqat ko taklīf hai
taklīf kā ilaaj devmālāoñ kī ījād hai
aur ījād kī maañ to zarūrat hai
zarūrat kā baap albatta nā-ma.alūm hai
dew-malaon ke sutunon par khaDi hone wali dewiyan
shahzadon ke parastar hone ka intizar karti hain
ek shahzade ko haram-zada banne mein
faqat kisi shah ki shah darkar hoti hai
haram-zadgi bahar-haal ek kaifiyat hai
jabki haram-kari ek amal
chunki aamal ka dar-o-madar niyyaton par hai
is liye dewiyon par shak karna himaqat hai
magar Descartes ka kahna hai
sach ke idrak ke liye shak na-guzir hai
sach wahi hai jo dewmalai nahin hai
sach wo bhi hai jo nafi ke munafi hai
magar nafi ba-zat-e-KHud hone ki dalil hai
man-ghaDant dewtaon ke han aurat zalil hai
jabki aurat ke yahan quwwat-e-taKHliq hai
taKHliq se magar taqat ko taklif hai
taklif ka ilaj dewmalaon ki ijad hai
aur ijad ki man to zarurat hai
zarurat ka bap albatta na-malum hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.