na-malum ka zarar
maiñ nahīñ jāntī
ki mujhe kyā huā hai
mujhe aisā kuchh bhī
mere baare batāne se man.a kiyā gayā hai
shāyad
magar maiñ taklīf meñ huuñ
ek anjānī taklīf
nā-chāhe jaane kī taklīf
maiñ kisī kī zindagī kā mehvar-o-markaz nahīñ kyuuñ
shāyad ye kyuuñ aur is se pahle kā jumla faqat merā vahm ho
yahī soch kar ḳhud ko tasallī denā bhī
kis qadar achchhā lagtā hai
mere ba.ad kitne log
merī maut kā yaqīn na kar pā.eñge
mere hote hue kitnoñ ko mere zinda hone kā yaqīn hai
kyā ye yaqīn jhūTā nahīñ
kyā har yaqīn jhūTā nahīñ
nahīñ sab sach hai
kabūtar kī tarah āñkheñ muuñd lene se kyā hogā
udāsī aur us kā karb jaan levā hai
zindagī har roz mujhe zalīl karne par tulī hai
sisaknā bilaknā aur qahqahe lagānā merā vatīra ban gayā hai
koī hai jo mujhe ḳhvāboñ se bedār na kare
koī hai
koī nahīñ
maiñ ḳhud bhī nahīñ
tumheñ patā hai tumhārī āñkheñ
mere chehre par burī lagtī haiñ
par maiñ unheñ lagā.e ghūmtī huuñ
bhaddī lagne ke bāvajūd
sirf is liye ki
tumheñ mujh se shikāyat na ho
ye kaisā zindāñ hai jahāñ āzādī hī āzādī hai aur koī rok Tok nahīñ
sivā.e sochne ke
kisī shai par pābandī nahīñ
main nahin jaanti
ki mujhe kya hua hai
mujhe aisa kuchh bhi
mere bare batane se mana kiya gaya hai
shayad
magar main taklif mein hun
ek anjaani taklif
na-chahe jaane ki taklif
main kisi ki zindagi ka mehwar-o-markaz nahin kyun
shayad ye kyun aur is se pahle ka jumla faqat mera wahm ho
yahi soch kar KHud ko tasalli dena bhi
kis qadar achchha lagta hai
mere baad kitne log
meri maut ka yaqin na kar paenge
mere hote hue kitnon ko mere zinda hone ka yaqin hai
kya ye yaqin jhuTa nahin
kya har yaqin jhuTa nahin
nahin sab sach hai
kabutar ki tarah aankhen mund lene se kya hoga
udasi aur us ka karb jaan lewa hai
zindagi har roz mujhe zalil karne par tuli hai
sisakna bilakna aur qahqahe lagana mera watira ban gaya hai
koi hai jo mujhe KHwabon se bedar na kare
koi hai
koi nahin
main KHud bhi nahin
tumhein pata hai tumhaari aankhen
mere chehre par buri lagti hain
par main unhen lagae ghumti hun
bhaddi lagne ke bawajud
sirf is liye ki
tumhein mujh se shikayat na ho
ye kaisa zindan hai jahan aazadi hi aazadi hai aur koi rok Tok nahin
siwae sochne ke
kisi shai par pabandi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.