na-qabil-e-ishaat
merī ye nazm shaa.e nahīñ ho saktī
ye ishā.at ke qābil nahīñ
is meñ shāmil hai gahrā dukh
ham sab kā mushtarka dukh
jise mahsūs kiyā jā saktā hai
bayān nahīñ
ehtijāj aur mazammat is ke lafzoñ meñ na.ara-zan
aañsū aur aaheñ is kā dariyā
sat.h pe bah jaatī hai siskī lekin
maiñ ye nazm dīvār par kaise likhūñ
ki har dīvār huī hai bahrī
ab ye paisoñ kā
chand Takoñ kā
khokhlā gūñgā iz.hār ho ga.iiñ haiñ mahz
un par likhā koī nahīñ paḌhtā
maiñ ye nazm dard ke samundar meñ
pheñk dūñgā
yā TukḌe TukḌe kar dūñgā
yā jalā dūñgā
maiñ ise shaa.e nahīñ hone dūñgā
hargiz
shaa.e huī to sharīk ho jā.eñge
is meñ sab
mohabbat karne jānñe aur samajhne vaale
sab ke sab
phir bhī maiñ likhūñgā zarūr
ki nazm hī hai merā ehtijāj
mazammat
na.ara
aur mohabbat
maiñ ḳhāmoshī aur khule andhe-pan ke māhaul meñ
ek nazm likkhūñgā zarūr
meri ye nazm shae nahin ho sakti
ye ishaat ke qabil nahin
is mein shamil hai gahra dukh
hum sab ka mushtarka dukh
jise mahsus kiya ja sakta hai
bayan nahin
ehtijaj aur mazammat is ke lafzon mein nara-zan
aansu aur aahen is ka dariya
sath pe bah jati hai siski lekin
main ye nazm diwar par kaise likhun
ki har diwar hui hai bahri
ab ye paison ka
chand Takon ka
khokhla gunga izhaar ho gain hain mahz
un par likha koi nahin paDhta
main ye nazm dard ke samundar mein
phenk dunga
ya TukDe TukDe kar dunga
ya jala dunga
main ise shae nahin hone dunga
hargiz
shae hui to sharik ho jaenge
is mein sab
mohabbat karne jaanne aur samajhne wale
sab ke sab
phir bhi main likhunga zarur
ki nazm hi hai mera ehtijaj
mazammat
nara
aur mohabbat
main KHamoshi aur khule andhe-pan ke mahaul mein
ek nazm likkhunga zarur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.