nadida firaq
baaġh meñ iztirāb aisā hai
jaise guhar meñ kartā hai qatra iztirāb
ye ḳhizāñ kī hī to baḳhshish hai
jo aatī hai bahār
kulfateñ aur iztirāb aur un ke saath saath
vasl-e-ḳhizāñ hī zindagī meñ
ast hai paivast hai
ye añdherī shab hai kaisī
duur tak jaltī nahīñ mash.al koī
koī charāġh
dil hī jaltā hai mirā
aur us kī raushnī meñ
but-kade ke dar ko kholā
but vahāñ thā hī nahīñ
but kahāñ gum ho gayā
farsh se sātoñ arsh tak
maiñ ne kiyā us ko talāsh
lekin har ik moḌ pe thā
soḳhtan kā ek baab
iztirāb aisā thā
us meñ kulfateñ thiiñ sau bharī
aur ḳhizāñ bhī
saath un kā de rahī thī sar-phirī
vaañ karam ko uzr-e-bārish thā
ināñ-gīr-e-ḳhirām
aur girye se mire takiye meñ
ik sailāb thā
baaġh meñ iztirāb aisā hai
jaise guhar meñ kartā hai qatra iztirāb
bagh mein iztirab aisa hai
jaise guhar mein karta hai qatra iztirab
ye KHizan ki hi to baKHshish hai
jo aati hai bahaar
kulfaten aur iztirab aur un ke sath sath
wasl-e-KHizan hi zindagi mein
ast hai paiwast hai
ye andheri shab hai kaisi
dur tak jalti nahin mashal koi
koi charagh
dil hi jalta hai mera
aur us ki raushni mein
but-kade ke dar ko khola
but wahan tha hi nahin
but kahan gum ho gaya
farsh se saton arsh tak
main ne kiya us ko talash
lekin har ek moD pe tha
soKHtan ka ek bab
iztirab aisa tha
us mein kulfaten thin sau bhari
aur KHizan bhi
sath un ka de rahi thi sar-phiri
wan karam ko uzr-e-barish tha
inan-gir-e-KHiram
aur girye se mere takiye mein
ek sailab tha
bagh mein iztirab aisa hai
jaise guhar mein karta hai qatra iztirab
- Book : Banam-e-Ghalib (Pg. 21)
- Author : Salahuddin Parvez
- Publication : Educational Publishing House, Aligrah (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.