nam jo likha nahin tha
mirī jaañ ye muddat se maiñ jāntī huuñ
tumhārā ye dil koī patthar nahīñ hai
dhaḌaktā to hai is kī dhaḌkan meñ lekin
kahīñ koī lamha mire naam par ḳhatm hotā nahīñ hai
tumhārī ye āñkheñ chhalaktī haiñ lekin
ye aañsū jo palkoñ pe Thahre haiñ in meñ
koī bhī to merī judā.ī meñ Tapkā nahīñ hai
base haiñ ka.ī ḳhvāb in meñ ye sach hai
magar ek bhī ḳhvāb mere tasavvur se ābād kab hai
tumhāre laboñ par ye naġhme bhalā kab mirī shaan meñ haiñ
ye maiñ jāntī huuñ kahīñ duur imlī ke ik peḌ kī oT se
koī ūñchī havelī ke koThe se malhār gā kar bulātā hai tum ko
jise sun ke tum muztarib aur bechain hote ho behad
mirī jaan
mujh se ye jhūTī mohabbat kā iz.hār karne pe phir itne majbūr kyoñ ho
maiñ sach kah rahī huuñ
agar lauT kar tum chale bhī ga.e us sadā par mujhe ġham na hogā
buzurgoñ kī ḳhvāhish pe tum ne
mirī maañg meñ ye jo afshāñ bharī hai qasam hai isī kī
ki māthe pe mere tumhārā hī to naam likkhā rahegā
jo mil-jul ke ham ne kabhī bhī kahīñ bhī
kisī peḌ kī jaḌ meñ likkhā nahīñ thā
meri jaan ye muddat se main jaanti hun
tumhaara ye dil koi patthar nahin hai
dhaDakta to hai is ki dhaDkan mein lekin
kahin koi lamha mere nam par KHatm hota nahin hai
tumhaari ye aankhen chhalakti hain lekin
ye aansu jo palkon pe Thahre hain in mein
koi bhi to meri judai mein Tapka nahin hai
base hain kai KHwab in mein ye sach hai
magar ek bhi KHwab mere tasawwur se aabaad kab hai
tumhaare labon par ye naghme bhala kab meri shan mein hain
ye main jaanti hun kahin dur imli ke ek peD ki oT se
koi unchi haweli ke koThe se malhaar ga kar bulata hai tum ko
jise sun ke tum muztarib aur bechain hote ho behad
meri jaan
mujh se ye jhuTi mohabbat ka izhaar karne pe phir itne majbur kyon ho
main sach kah rahi hun
agar lauT kar tum chale bhi gae us sada par mujhe gham na hoga
buzurgon ki KHwahish pe tum ne
meri mang mein ye jo afshan bhari hai qasam hai isi ki
ki mathe pe mere tumhaara hi to nam likkha rahega
jo mil-jul ke hum ne kabhi bhi kahin bhi
kisi peD ki jaD mein likkha nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.