nara-e-haq
jafā-shi.ār sitam-kesh hurriyat dushman
Darā rahā hai tū āñkheñ ye kyā dikhā ke mujhe
mire qadam ko ho jumbish ye ġhair-mumkin hai
payām-e-shauq se de dard-o-ibtilā ke mujhe
koī mujhe rah-e-haq se haTā nahīñ saktā
agar yaqīn na ho dekh le haTā ke mujhe
zabāñ pe kalima-e-haq ke sivā jo harf aa jaa.e
to phūñk de mirī ġhairat abhī jalā ke mujhe
hai āshnā mire kām-o-dahan se talḳhī-e-ġham
ye zahar dekh le sau martaba pilā ke mujhe
hai mere vāste me.arāj-e-rūh taḳhta-e-dār
tū ḳhush agar hai to ho daar par chaḌhā ke mujhe
fanā hai mere liye muzhda-e-baqā-e-davām
sunā rahā hai tū ahkām kyā qazā ke mujhe
sivā ḳhudā ke kisī se maiñ dab nahīñ saktā
na rakh sakegā tū hargiz kabhī dabā ke mujhe
tire ḳhayāl meñ gar huuñ maiñ qābil-e-tasḳhīr
to dekh le ġham-o-ālām meñ phañsā ke mujhe
mirī taraf se ijāzat hai tujh ko aam us kī
ki de sake tū ġham-o-rañj intihā ke mujhe
ḳhushī ke saath huuñ raazī har ibtilā ke liye
tū muntaḳhab mujhe kar to sahī jafā ke liye
jafa-shiar sitam-kesh hurriyat dushman
Dara raha hai tu aankhen ye kya dikha ke mujhe
mere qadam ko ho jumbish ye ghair-mumkin hai
payam-e-shauq se de dard-o-ibtila ke mujhe
koi mujhe rah-e-haq se haTa nahin sakta
agar yaqin na ho dekh le haTa ke mujhe
zaban pe kalima-e-haq ke siwa jo harf aa jae
to phunk de meri ghairat abhi jala ke mujhe
hai aashna mere kaam-o-dahan se talKHi-e-gham
ye zahar dekh le sau martaba pila ke mujhe
hai mere waste mearaj-e-ruh taKHta-e-dar
tu KHush agar hai to ho dar par chaDha ke mujhe
fana hai mere liye muzhda-e-baqa-e-dawam
suna raha hai tu ahkaam kya qaza ke mujhe
siwa KHuda ke kisi se main dab nahin sakta
na rakh sakega tu hargiz kabhi daba ke mujhe
tere KHayal mein gar hun main qabil-e-tasKHir
to dekh le gham-o-alam mein phansa ke mujhe
meri taraf se ijazat hai tujh ko aam us ki
ki de sake tu gham-o-ranj intiha ke mujhe
KHushi ke sath hun raazi har ibtila ke liye
tu muntaKHab mujhe kar to sahi jafa ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.