narasi sas
tasavvur karo
din ke ḳhvāboñ ke barbād lamhoñ kā
jab suulī chaḌhī
us kā sar āsmāñ par thā
qadmoñ meñ saarī zamīñ
haath phaile hue muñh khulā
jiibh bāhar laTaktī huī
mujhe kyā ḳhabar thī ki yuuñ chāñd thak jā.egā
tasavvur karo
us ghaḌī
maiñ jahāñ thā vahāñ merā saaya na thā
maiñ use DhūñDhtā
saat rañgoñ ke dariyā kī jānib chalā
mujhe kyā ḳhabar thī ki pātāl meñ vo na thā
har taraf naag the
ifrīt ke haath meñ ek talvār thī
phir vo talvār kī dhaar thī
aur merā galā
tasavvur karo
phir vahāñ merā saaya thā aur maiñ na thā
tasawwur karo
din ke KHwabon ke barbaad lamhon ka
jab suli chaDhi
us ka sar aasman par tha
qadmon mein sari zamin
hath phaile hue munh khula
jibh bahar laTakti hui
mujhe kya KHabar thi ki yun chand thak jaega
tasawwur karo
us ghaDi
main jahan tha wahan mera saya na tha
main use DhunDhta
sat rangon ke dariya ki jaanib chala
mujhe kya KHabar thi ki patal mein wo na tha
har taraf nag the
ifrit ke hath mein ek talwar thi
phir wo talwar ki dhaar thi
aur mera gala
tasawwur karo
phir wahan mera saya tha aur main na tha
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 507)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.