naseh-e-mushfiq
tum ko āḳhir mere un ke darmiyāñ aane se kyā
mohsin-e-man vo samajh jā.eñge samjhāne se kyā
husn meñ ḳhud-e'timādī ishq meñ be-rah-ravī
vo asar meñ le mire nārāz ho jaane se kyā
aap apne rang meñ haiñ maiñ huuñ apne rang meñ
aap ko ai banda-parvar mere afsāne se kyā
dil ko bahlāne kī koshish aur un se duur duur
dil bahal bhī jā.egā is tarah bahlāne se kyā
ishti.āl-āmez bātoñ se agar zid paḌ ga.ī
aise samjhāne se hāsil aise samjhāne se kyā
mujh ko to ye be-niyāzī be-ruḳhī sab kuchh qubūl
aap ko rāhat milegī mere taḌpāne se kyā
un kā milnā bhī ġhalat tark-e-ta.alluq bhī muhāl
ye hayāt-e-kashmakash bhī kam hai mar jaane se kyā
pahle hī bachnā thā 'naḳhshab' us but-e-be-mehr se
ab bhalā mard-e-ḳhudā hotā hai pachhtāne se kyā
tum ko aaKHir mere un ke darmiyan aane se kya
mohsin-e-man wo samajh jaenge samjhane se kya
husn mein KHud-e'timadi ishq mein be-rah-rawi
wo asar mein le mere naraaz ho jaane se kya
aap apne rang mein hain main hun apne rang mein
aap ko ai banda-parwar mere afsane se kya
dil ko bahlane ki koshish aur un se dur dur
dil bahal bhi jaega is tarah bahlane se kya
ishtial-amez baaton se agar zid paD gai
aise samjhane se hasil aise samjhane se kya
mujh ko to ye be-niyazi be-ruKHi sab kuchh qubul
aap ko rahat milegi mere taDpane se kya
un ka milna bhi ghalat tark-e-talluq bhi muhaal
ye hayat-e-kashmakash bhi kam hai mar jaane se kya
pahle hi bachna tha 'naKHshab' us but-e-be-mehr se
ab bhala mard-e-KHuda hota hai pachhtane se kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.