nastik
ye mirā shīsha-e-dil ā.ina-e-sāda-o-sāf
sabt kuchh is pe mashiyyat ke farāmīn bhī haiñ
rang ummīd ke rah rah ke nikharte haiñ kabhī
naqsh hirmāñ ke kabhī is meñ ubhar aate haiñ
ye mirā shīsha-e-dil ā.ina-e-sāda-o-sāf
is ke dhuñdlāne nikharne ke kuchh aa.iin bhī haiñ
jauhar-afroz kabhī jalva-e-‘irfān-o-yaqīñ
vasvase batn meñ is ke kabhī dar aate haiñ
ye mirā shīsha-e-dil ā.ina-e-sāda-o-sāf
‘aks-rez is meñ farishte bhī shayātīn bhī haiñ
lekin us vaqt kā ehsās ‘ayāzan-billāh
jab farishte bhī shayātīn nazar aate haiñ
ye mera shisha-e-dil aaina-e-sada-o-saf
sabt kuchh is pe mashiyyat ke faramin bhi hain
rang ummid ke rah rah ke nikharte hain kabhi
naqsh hirman ke kabhi is mein ubhar aate hain
ye mera shisha-e-dil aaina-e-sada-o-saf
is ke dhundlane nikharne ke kuchh aain bhi hain
jauhar-afroz kabhi jalwa-e-‘irfan-o-yaqin
waswase batn mein is ke kabhi dar aate hain
ye mera shisha-e-dil aaina-e-sada-o-saf
‘aks-rez is mein farishte bhi shayatin bhi hain
lekin us waqt ka ehsas ‘ayazan-billah
jab farishte bhi shayatin nazar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.