Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nadi ka afsana

Raj Kumar Kori Raz

nadi ka afsana

Raj Kumar Kori Raz

MORE BYRaj Kumar Kori Raz

    vo nadī jo ki yahāñ roz khilkhilātī hai

    azm se jis ke yaañ shādāb haiñ kināre bhī

    vo jo sūraj ke nikalne pe bhī chamaktī hai

    god meñ apnī jo mahtāb ko jhulātī hai

    jis mausam ke ishāroñ pe utarnā chaḌhnā

    ye batātā rahā kab ḳhush hai vo ġhamgīñ hai kab

    phir samundar se mile vo baḌe dariyā se

    apne uddgam se vo har haal juḌī rahtī hai

    sāzisheñ karte rahe mausam-e-garmā aksar

    us ne badlī nahīñ raah kabhī bhī apnī

    par ye hālāt ye tūfān-e-havādis jaise

    ban ga.e haiñ sabhī is āb-e-ravāñ ke dushman

    dekh kar ab ye manāzir maiñ yahī sochtā huuñ

    kitnī miltī hai nadī tujh se kahānī merī

    wo nadi jo ki yahan roz khilkhilati hai

    azm se jis ke yan shadab hain kinare bhi

    wo jo suraj ke nikalne pe bhi chamakti hai

    god mein apni jo mahtab ko jhulati hai

    jis ka mausam ke ishaaron pe utarna chaDhna

    ye batata raha kab KHush hai wo ghamgin hai kab

    phir samundar se mile ya wo baDe dariya se

    apne uddgam se wo har haal juDi rahti hai

    sazishen karte rahe mausam-e-garma aksar

    us ne badli hi nahin rah kabhi bhi apni

    par ye haalat ye tufan-e-hawadis jaise

    ban gae hain sabhi is aab-e-rawan ke dushman

    dekh kar ab ye manazir main yahi sochta hun

    kitni milti hai nadi tujh se kahani meri

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now