nadi ne kaha
maut dete ho kyoñ zindagī kī tarah
mujh ko jiine do bas ik nadī kī tarah
jhilmilāte himāle se utrī huuñ maiñ
chāhe jaisī huuñ gangā kī beTī huuñ maiñ
mere siine meñ mamtā ke dhāre bhī haiñ
merī bāhoñ meñ kuchh ġham ke maare bhī haiñ
mere pahlū meñ apne sitāre bhī haiñ
merī bāheñ bhī haiñ ye kināre bhī haiñ
dil meñ hai bhāvnā raushnī kī tarah
mujh ko jiine do bas ik nadī kī tarah
nāchtī aur nachātī chalī jā rahī
lai meñ ik giit gaatī chalī jā rahī
kitne tūfāñ uThātī chalī jā rahī
phir bhī taalī bajātī chalī jā rahī
lākhoñ armān mere bhī siine meñ haiñ
qatre shabnam ke mere pasīne meñ haiñ
kal samundar se milnā hai jā ke mujhe
us ko paanā hai ḳhud ko miTā ke mujhe
maut kā ġham milegā ḳhushī kī tarah
mujh ko jiine do bas ik nadī kī tarah
apne sāgar kī ik paak dhārā thī maiñ
niile paanī kī āñkhoñ kā taarā thī maiñ
gandagī kī nazar mujh pe Daalī ga.ī
mere āñchal pe kālakh lagā dī ga.ī
merī lahroñ kā ānand lete rahe
le ke amrit mujhe zahr dete rahe
mujh pe 'panchhī' hī altāf kar degā phir
ye samundar mujhe saaf kar degā phir
jism ho jā.egā chāñdnī kī tarah
mujh ko jiine do bas ik nadī kī tarah
maut dete ho kyoñ zindagī kī tarah
mujh ko jiine do bas ik nadī kī tarah
maut dete ho kyon zindagi ki tarah
mujh ko jine do bas ek nadi ki tarah
jhilmilate himale se utri hun main
chahe jaisi hun ganga ki beTi hun main
mere sine mein mamta ke dhaare bhi hain
meri bahon mein kuchh gham ke mare bhi hain
mere pahlu mein apne sitare bhi hain
meri bahen bhi hain ye kinare bhi hain
dil mein hai bhawna raushni ki tarah
mujh ko jine do bas ek nadi ki tarah
nachti aur nachati chali ja rahi
lai mein ek git gati chali ja rahi
kitne tufan uThati chali ja rahi
phir bhi tali bajati chali ja rahi
lakhon arman mere bhi sine mein hain
qatre shabnam ke mere pasine mein hain
kal samundar se milna hai ja ke mujhe
us ko pana hai KHud ko miTa ke mujhe
maut ka gham milega KHushi ki tarah
mujh ko jine do bas ek nadi ki tarah
apne sagar ki ek pak dhaara thi main
nile pani ki aankhon ka tara thi main
gandagi ki nazar mujh pe Dali gai
mere aanchal pe kalakh laga di gai
meri lahron ka aanand lete rahe
le ke amrit mujhe zahr dete rahe
mujh pe 'panchhi' hi altaf kar dega phir
ye samundar mujhe saf kar dega phir
jism ho jaega chandni ki tarah
mujh ko jine do bas ek nadi ki tarah
maut dete ho kyon zindagi ki tarah
mujh ko jine do bas ek nadi ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.