Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nae aadam ki tashkil

Rizwanullah

nae aadam ki tashkil

Rizwanullah

MORE BYRizwanullah

    hechrī meñ aadmī ik din Dhaleñge dekhnā

    pahle ik sāñcha banegā us ko parkhā jā.egā

    nasl dekhī jā.egī rangat nikhārī jā.egī

    qadd-o-qāmat dekh kar a.azā tarāshe jā.eñge

    aadmī aadam banā.egā nayā bilkul nayā

    phir usī aadam taḳhlīq-e-mukarrar silsila-dar-silsila

    saare sāñche toḌ deñge is na.e paikar ke baa'd

    ek rangat ik qad-o-qāmat zabān-o-nasl ek

    gintiyāñ hoñgī adad hoñge bajā.e nasb-o-nām

    be-ḳhabar maazī se mustaqbil se nā-āgāh sab

    haal meñ jiite raheñge haal meñ mar jā.eñge

    ādamiyyat dostī insāf amn-o-āshatī

    yaanī farsūda luġhāt-e-ilm

    ta.alīm-o-talammuz ek saath

    sab se gahrī khaa.ī meñ tārīḳh

    dafn kar ke un se fursat pā.eñge

    phir sitāroñ jahāñ hogā

    vahīñ uḌ jā.eñge

    hechri mein aadmi ek din Dhalenge dekhna

    pahle ek sancha banega us ko parkha jaega

    nasl dekhi jaegi rangat nikhaari jaegi

    qadd-o-qamat dekh kar aaza tarashe jaenge

    aadmi aadam banaega naya bilkul naya

    phir usi aadam ki taKHliq-e-mukarrar silsila-dar-silsila

    sare sanche toD denge is nae paikar ke ba'd

    ek rangat ek qad-o-qamat zaban-o-nasl ek

    gintiyan hongi adad honge bajae nasb-o-nam

    be-KHabar mazi se mustaqbil se na-agah sab

    haal mein jite rahenge haal mein mar jaenge

    aadamiyyat dosti insaf amn-o-ashati

    yani farsuda lughat-e-ilm

    talim-o-talammuz ek sath

    sab se gahri khai mein tariKH ki

    dafn kar ke un se fursat paenge

    phir sitaron ka jahan hoga

    wahin uD jaenge

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now