nae khilaune
hanD kuliya aur guḌiyā guDDe kī shādī kā khel rachā kar
naT-khaT laḌkī
vaqt se pahle bāliġh ho kar
'aurat ban kar
taj detī hai khel khilaune
hanD kuliya aur guDDe guḌiyā ke sab nāTak
kal kī laḌkī
aañkh jhapakne kī derī meñ
sughaḌ siyānī ek girahstan ban jaatī hai
lekin laḌke
mard kahāñ bante haiñ vo to
der talak laḌke rahte haiñ
bachpan aur laḌakpan ke sab khel khilaune
vaqt guzarne par bhī un ke saath saath chalte rahte haiñ
farq hai itnā
laḌkoñ ke vo saare khilaune
kam-qīmat hote the lekin
mardoñ ke ye na.e khilaune
behad mahñge
jin kā
mol chukāne kī ḳhātir mardoñ ko
ḳhud bhī bik jaanā paḌtā hai
hanD kuliya aur guDiya guDDe ki shadi ka khel racha kar
naT-khaT laDki
waqt se pahle baaligh ho kar
'aurat ban kar
taj deti hai khel khilaune
hanD kuliya aur guDDe guDiya ke sab naTak
kal ki laDki
aankh jhapakne ki deri mein
sughaD siyani ek girahstan ban jati hai
lekin laDke
mard kahan bante hain wo to
der talak laDke rahte hain
bachpan aur laDakpan ke sab khel khilaune
waqt guzarne par bhi un ke sath sath chalte rahte hain
farq hai itna
laDkon ke wo sare khilaune
kam-qimat hote the lekin
mardon ke ye nae khilaune
behad mahnge
jin ka
mol chukane ki KHatir mardon ko
KHud bhi bik jaana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.