nae log
vo ab ke aa.e to sach un ke saath thā lekin
ajiib tarah kā be-dard sach thā
kahte the tumhārā jhuuT hai nañgā yahī to ik sach hai
ham un se kah na sake
hamāre izn pe jo qasr-o-bām ugātā thā
vo jin hameñ meñ thā vo mar chukā hai ham lekin
ji.eñ to kaise ji.eñ
aur mareñ to kaise mareñ
ki tan barahna paḌe haiñ
na jaane kaun sā hai dasht samt hai na ufuq
bas ek manzar-e-be-rañg-o-saut hai us ko
ḳhalā kaheñ ki adam
vo ham se sadiyoñ purānā charāġh chhīn ga.e
na.e charāġh purāne charāġh ke badle
vo kaash ab ke bhī aisā fareb de jaate
wo ab ke aae to sach un ke sath tha lekin
ajib tarah ka be-dard sach tha
kahte the tumhaara jhuT hai nanga yahi to ek sach hai
hum un se kah na sake
hamare izn pe jo qasr-o-baam ugata tha
wo jin hamein mein tha wo mar chuka hai hum lekin
jien to kaise jien
aur maren to kaise maren
ki tan barahna paDe hain
na jaane kaun sa hai dasht samt hai na ufuq
bas ek manzar-e-be-rang-o-saut hai us ko
KHala kahen ki adam
wo hum se sadiyon purana charagh chhin gae
nae charagh purane charagh ke badle
wo kash ab ke bhi aisa fareb de jate
- Book : Aainaa Dar Aainaa (Pg. 69)
- Author : Aziz Qaisi
- Publication : Maktaba Saba Hayderabad (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.