nae sal ki band muTThi
achānak dabe paañv vo aa gayā thā
khulī band muTThī to ye hukm jaarī huā
ham ko lambī masāfat ko jaanā hai lekin
safar ke liye koī vaqfa nahīñ thā
safar ko ba-ujlat ravāna hue is tarah ham
na zād-e-safar thā
na maqsad
na koī irāda
faqat lā-shu.ūrī tarīqe se apne qadam uTh rahe the
bagūle havā.eñ thapeḌe
ujāle añdhere
añdhere ujāle
faqat dhund hī dhund thī duur tak
der tak
ham bhaTakte rahe
thak ga.e phir bhī chalte rahe
thī itā.at-guzārī hī apnā muqaddar
aur is se mafar kā koī rāsta bhī nahīñ thā
safar meñ ka.ī moḌ aise bhī aa.e
jahāñ apne derīna ahbāb ko
bebasī se har ik aan baḌhtī huī dhund meñ Dūbte dekhte rah ga.e
apne bas meñ nahīñ thā
ki ham ḳhud pe laadī huī bebasī
bhaḌaktī huī aag aur ḳhuun kī naddiyoñ se
kisī taur ham hāñpte apnī manzil ko pahuñche
vo manzil kahāñ thī
faqat be-kasī nā-murādī kā anjām thā vo
achānak dabe paañv phir aa gayā hai vahī
apnī muTThī ko saḳhtī se bhīñche hue
kyā pata is meñ phūloñ kī bastī ko jaane kā paiġhām hai
yā kisī vādī-e-ḳhār ko kuuch karne kā farmān koī
faqat tifl-e-nādāñ kī mānind ham
us kī muTThī meñ poshīda ahkām ke pesh haiñ chup kapḌe
aane vaale kisī hādse kā tasavvur liye
ḳhauf se kāñpte haiñ
achanak dabe panw wo aa gaya tha
khuli band muTThi to ye hukm jari hua
hum ko lambi masafat ko jaana hai lekin
safar ke liye koi waqfa nahin tha
safar ko ba-ujlat rawana hue is tarah hum
na zad-e-safar tha
na maqsad
na koi irada
faqat la-shuuri tariqe se apne qadam uTh rahe the
bagule hawaen thapeDe
ujale andhere
andhere ujale
faqat dhund hi dhund thi dur tak
der tak
hum bhaTakte rahe
thak gae phir bhi chalte rahe
thi itaat-guzari hi apna muqaddar
aur is se mafar ka koi rasta bhi nahin tha
safar mein kai moD aise bhi aae
jahan apne derina ahbab ko
bebasi se har ek aan baDhti hui dhund mein Dubte dekhte rah gae
apne bas mein nahin tha
ki hum KHud pe ladi hui bebasi
bhaDakti hui aag aur KHun ki naddiyon se
kisi taur hum hanpte apni manzil ko pahunche
wo manzil kahan thi
faqat be-kasi na-muradi ka anjam tha wo
achanak dabe panw phir aa gaya hai wahi
apni muTThi ko saKHti se bhinche hue
kya pata is mein phulon ki basti ko jaane ka paigham hai
ya kisi wadi-e-KHar ko kuch karne ka farman koi
faqat tifl-e-nadan ki manind hum
us ki muTThi mein poshida ahkaam ke pesh hain chup kapDe
aane wale kisi hadse ka tasawwur liye
KHauf se kanpte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.