nae sal ki saughat
maiñ na.e saal kī sauġhāt tujhe kyā bhejūñ
ik barahman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai
mah-vashoñ zohra-jabīnoñ kā ḳhayāl achchhā hai
ya.anī biite hue maazī se ye haal achchhā hai
sar-phiroñ ke liye ulfat kā vabāl achchhā hai
jitne armān haiñ siine meñ nikāl achchhā hai
raat bhar zehn isī fikr meñ hairān rahā
terī zulfoñ kī tarah maiñ bhī pareshān rahā
dil meñ ik dard kā chaḌhtā huā tūfān rahā
ḳhālī-ḳhālī sā ḳhayālāt kā gul-dān rahā
dasht-e-hasrat meñ bahut der pareshān rahā
koī taḳhlīq koī sher koī nazm-o-ġhazal
koī guldasta-e-afkār ḳhayāloñ kā mahal
koī naġhma koī ḳhushbū koī yādoñ kā kañval
koī tasvīr koī ḳhat koī uḌtā bādal
painting koī koī art kā taaza model
mashvara dil kā hai mehr-o-mah-o-anjum bhejo
vaqt kahtā hai ki ab ḳhosha-e-gandum bhejo
main nae sal ki saughat tujhe kya bhejun
ek barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai
mah-washon zohra-jabinon ka KHayal achchha hai
yani bite hue mazi se ye haal achchha hai
sar-phiron ke liye ulfat ka wabaal achchha hai
jitne arman hain sine mein nikal achchha hai
raat bhar zehn isi fikr mein hairan raha
teri zulfon ki tarah main bhi pareshan raha
dil mein ek dard ka chaDhta hua tufan raha
KHali-KHali sa KHayalat ka gul-dan raha
dasht-e-hasrat mein bahut der pareshan raha
koi taKHliq koi sher koi nazm-o-ghazal
koi guldasta-e-afkar KHayalon ka mahal
koi naghma koi KHushbu koi yaadon ka kanwal
koi taswir koi KHat koi uDta baadal
painting koi koi art ka taza model
mashwara dil ka hai mehr-o-mah-o-anjum bhejo
waqt kahta hai ki ab KHosha-e-gandum bhejo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.