nae sal ki subh
rūh-e-insāñ kī javāñ tishna-labī kī ḳhātir
zañg-ālūd tamannāoñ kī zanjīr liye
phir sahar raat ke zindāñ se nikal aa.ī hai
sub.h laa.ī hai ujāloñ kā chhalaktā huā jaam
raat kī āñkhoñ se Tapkā hai sitāroñ kā lahū
tīra-o-tār fazā Duub ga.ī hai ḳhud meñ
duur sūraj kī sulagtī huī aahoñ se pare
merī har fikr kī har soch kī rāhoñ se pare
dil kī āñkhoñ se pare merī nigāhoñ se pare
phir vahī fikr-e-safar fikr-e-talab fikr-e-zavāl
phir vahī tez masā.il vahī ḳhuñḳhār savāl
phir siyah-posh tasavvur kā siyah-posh kamāl
phir uThā.e haiñ tamannāoñ ne ḳhvāboñ ke kafan
phir vahī peT ke mānūs taqāzoñ kī chubhan
phir lahū rotī hai iflās kī madqūq dulhan
rūh-e-insāñ kī javāñ tishna-labī kī ḳhātir
zañg-ālūd tamannāoñ kī zanjīr liye
phir sahar raat ke zindāñ se nikal aa.ī hai
ruh-e-insan ki jawan tishna-labi ki KHatir
zang-alud tamannaon ki zanjir liye
phir sahar raat ke zindan se nikal aai hai
subh lai hai ujalon ka chhalakta hua jam
raat ki aankhon se Tapka hai sitaron ka lahu
tira-o-tar faza Dub gai hai KHud mein
dur suraj ki sulagti hui aahon se pare
meri har fikr ki har soch ki rahon se pare
dil ki aankhon se pare meri nigahon se pare
phir wahi fikr-e-safar fikr-e-talab fikr-e-zawal
phir wahi tez masail wahi KHunKHar sawal
phir siyah-posh tasawwur ka siyah-posh kamal
phir uThae hain tamannaon ne KHwabon ke kafan
phir wahi peT ke manus taqazon ki chubhan
phir lahu roti hai iflas ki madquq dulhan
ruh-e-insan ki jawan tishna-labi ki KHatir
zang-alud tamannaon ki zanjir liye
phir sahar raat ke zindan se nikal aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.