naghma-e-jaan
phir koī naġhma-e-jāñ chheḌ ki shab baaqī hai
an-sunā giit koī raqs-gah-e-anjum meñ
uljhe uljhe hue bāloñ se ulajhtā huā giit
mahkī mahkī huī sāñsoñ meñ sulagtā huā giit
phir sajāyā hai hathelī pe tire naam kā diip
aur havāoñ se ulajhte haiñ sañbhal jaate haiñ
silsile ḳhvāb ke bad-mast havā ke sāthī
dil meñ ik jot jalāte haiñ bujhā jaate haiñ
mere takiye pe sajī hai koī be-kal ḳhvāhish
sochtī huuñ ki use niiñd kī vaadī le jā.ūñ
apnī sahmī huī bāhoñ kā banā kar gherā
sang apne hī rakhūñ duur na hone pā.ūñ
an-sunā giit koī raqs-gah-e-anjum meñ
phir koī naġhma-e-jāñ chheḌ ki shab baaqī hai
phir koi naghma-e-jaan chheD ki shab baqi hai
an-suna git koi raqs-gah-e-anjum mein
uljhe uljhe hue baalon se ulajhta hua git
mahki mahki hui sanson mein sulagta hua git
phir sajaya hai hatheli pe tere nam ka dip
aur hawaon se ulajhte hain sanbhal jate hain
silsile KHwab ke bad-mast hawa ke sathi
dil mein ek jot jalate hain bujha jate hain
mere takiye pe saji hai koi be-kal KHwahish
sochti hun ki use nind ki wadi le jaun
apni sahmi hui bahon ka bana kar ghera
sang apne hi rakhun dur na hone paun
an-suna git koi raqs-gah-e-anjum mein
phir koi naghma-e-jaan chheD ki shab baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.