naghma-e-mujassam
Interesting Fact
(An experience in Paris) Aligarh 4 May 1998
mahtāb-badan gulāb-sūrat
sar-tā-ba-qadam jamāl-e-fitrat
hoñToñ par mogre kī kyārī
raftār lachaktī ġham-gusārī
chehre pe niagara barastā
āvāz meñ jal-tarang bajtā
naġhmoñ se bharā huā piano
hai sāmne us ke jo do zaanū
us kī maḳhrūt uñgliyoñ meñ
vo loch hai vo gudāz-o-ḳham hai
chhūnā nahīñ paḌtā taar koī
bas lams kī baat sochte haiñ
rag rag tār-e-jāñ kī mānind
bajne lagtī hai sarḳhushī meñ
ḳhuuñ naġhmagiyoñ ke zer-o-bam kā
baaje ke badan meñ dauḌtā hai
jī uThte haiñ jin ke sunñe vaale
īsā-nafasī kī daad dete
mahtab-badan gulab-surat
sar-ta-ba-qadam jamal-e-fitrat
honTon par mogre ki kyari
raftar lachakti gham-gusari
chehre pe niagara barasta
aawaz mein jal-tarang bajta
naghmon se bhara hua piano
hai samne us ke jo do zanu
us ki maKHrut ungliyon mein
wo loch hai wo gudaz-o-KHam hai
chhuna nahin paDta tar koi
bas lams ki baat sochte hain
rag rag tar-e-jaan ki manind
bajne lagti hai sarKHushi mein
KHun naghmagiyon ke zer-o-bam ka
baje ke badan mein dauDta hai
ji uThte hain jin ke sunne wale
isa-nafasi ki dad dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.