nahin koi bhi aaega
ye jo har roz-o-shab apnī
har ik dukh-dard kī kaḌiyāñ
piro letī huuñ shabdoñ se
na jaane kyā kyā kahtī huuñ
fuzūl uljhī hī rahtī huuñ
kabhī lagtā hai aisā bhī
ke ye har-pal kī vahshat se
kabhī thak-hār ke ik din
kisī be-nām kone meñ
chalī jā.ūñ bahut hī duur
jahāñ apne sivā koī
nahīñ pahchān sakta ho
mujhe phir DhūñDte āvāz dete
tum chale aao
kaho aa kar mujhe tum ye
mujhe kyuuñ chhoḌ kar tanhā
batā.e bin chalī aa.ī
tumheñ ehsās hai koī
mirā kyā haal thā tum bin
magar maiñ jāntī huuñ ye
nahīñ koī bhī aa.egā
ye jo har roz-o-shab apni
har ek dukh-dard ki kaDiyan
piro leti hun shabdon se
na jaane kya kya kahti hun
fuzul uljhi hi rahti hun
kabhi lagta hai aisa bhi
ke ye har-pal ki wahshat se
kabhi thak-haar ke ek din
kisi be-nam kone mein
chali jaun bahut hi dur
jahan apne siwa koi
nahin pahchan sakta ho
mujhe phir DhunDte aawaz dete
tum chale aao
kaho aa kar mujhe tum ye
mujhe kyun chhoD kar tanha
batae bin chali aai
tumhein ehsas hai koi
mera kya haal tha tum bin
magar main jaanti hun ye
nahin koi bhi aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.