nai aawaz
kitnī sham.eñ bujh ga.iiñ nūr-e-sahar ke naam par
kitne ġhunche gul hue sehn-e-chaman kī god meñ
kitne bhauñroñ ke laboñ se chhin gayā phūloñ kā ras
kitnī lahreñ dāman-e-sāhil kī zīnat ban ga.iiñ
ik ujāle ke liye kitnī shabeñ vīrāñ huiiñ
kitne naġhme zam hue haiñ hurriyat ke saaz meñ
ik na.e andāz se gulshan meñ phir aa.ī bahār
phir guloñ kī tāzgī gulshan kī zīnat ban ga.ī
jagmagā uTThā achānak phir dayār-e-bebasī
phir nayā māhaul ubhrā phir na.ī mahfil sajī
raushnī to mil ga.ī lekin dhuñdalkoñ kī tarah
bulbuloñ ke vo hayāt-afroz naġhme kyā hue
justujū thī jin ujāloñ kī vo sub.heñ kyā huiiñ
ham samajhte the gulistāñ legā phir añgḌā.iyāñ
sham.a kī lau par na jaane kitne parvāne jale
kitne phūloñ kā tabassum vaqf-e-gulshan ho gayā
kitne naġhme andalībān-e-chaman ke kho ga.e
kitnī maujeñ ho ga.iiñ haiñ vus.at-e-dariyā meñ zam
kitne tāroñ kā lahū Tapkā sahar ke vāste
kitne rangā-rang phūloñ se sajī hai har ravish
andalībān-e-chaman gaane lage naġhme na.e
daf.atan bujhte diye phir se farozāñ ho ga.e
har qadam par ik nayā jaada banā manzil banī
phuul ab bhī khilte haiñ lekin kahāñ aglī sī baat
qumriyoñ ke kaif-āvar vo tarāne haiñ kahāñ
vo manāzir kyā hue jin kī nazar ko hai talāsh
hurriyat kā raqs-e-paiham ḳhuun ko garmā.egā
zindagī badlegī karvaT ik na.e andāz se
dosto kyā kyā tavaqqo thī na.ī āvāz se
kitni shamen bujh gain nur-e-sahar ke nam par
kitne ghunche gul hue sehn-e-chaman ki god mein
kitne bhaunron ke labon se chhin gaya phulon ka ras
kitni lahren daman-e-sahil ki zinat ban gain
ek ujale ke liye kitni shaben viran huin
kitne naghme zam hue hain hurriyat ke saz mein
ek nae andaz se gulshan mein phir aai bahaar
phir gulon ki tazgi gulshan ki zinat ban gai
jagmaga uTTha achanak phir dayar-e-bebasi
phir naya mahaul ubhra phir nai mahfil saji
raushni to mil gai lekin dhundalkon ki tarah
bulbulon ke wo hayat-afroz naghme kya hue
justuju thi jin ujalon ki wo subhen kya huin
hum samajhte the gulistan lega phir angDaiyan
shama ki lau par na jaane kitne parwane jale
kitne phulon ka tabassum waqf-e-gulshan ho gaya
kitne naghme andaliban-e-chaman ke kho gae
kitni maujen ho gain hain wusat-e-dariya mein zam
kitne taron ka lahu Tapka sahar ke waste
kitne ranga-rang phulon se saji hai har rawish
andaliban-e-chaman gane lage naghme nae
dafatan bujhte diye phir se farozan ho gae
har qadam par ek naya jada bana manzil bani
phul ab bhi khilte hain lekin kahan agli si baat
qumriyon ke kaif-awar wo tarane hain kahan
wo manazir kya hue jin ki nazar ko hai talash
hurriyat ka raqs-e-paiham KHun ko garmaega
zindagi badlegi karwaT ek nae andaz se
dosto kya kya tawaqqo thi nai aawaz se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.