nai purani aag
kis ne dekhā hai ashkoñ ko bahte hue
sone chāñdī ke mahloñ meñ tum jā base
chāhatoñ kī ḳhushī kā chalan chhoḌ kar
dil kī dildāriyoñ kī chubhan chhoḌ kar
ab ye tum hī kaho kaun kis kā nahīñ
kis ke dar tak nahīñ kyoñ kisī kī jabīñ
kis ne toḌā mohabbat ke paimān ko
rog sā lag gayā ruuh ko jaan ko
rang kī ruup kī pyaar kī rāhateñ
aaj mere liye ban ga.iiñ hasrateñ
jaise un se koī vāsta hī na thā
kis ke dāman se uḌtī hai bū-e-vafā
kis liye pyaar kā naam badnām hai
kis liye is jahāñ-bhar meñ kohrām hai
kin rivājoñ ne duniyā meñ bis bo diye
ishq kī deviyāñ devtā ro diye
tum hī apne nahīñ kis se shikve kareñ
ġhair kī aag hai ab ji.eñ yā mareñ
oḌhe phirte haiñ ham hasratoñ kā kafan
ho mubārak tumheñ reshmī pairahan
haañ magar ishq vo hai ki jis ke liye
us ke ġham meñ na gaa.e koī marsiye
jis se hairān ho zar bhī zardār bhī
taḳht bhī taaj bhī aur talvār bhī
dekho ai husn-o-ulfat ke maaro idhar
jāñ-navāzo idhar jāñ-nisāro idhar
koī merī tarah pyaar haare nahīñ
husn ġhairoñ kī duniyā sañvāre nahīñ
kis ne dekha hai ashkon ko bahte hue
sone chandi ke mahlon mein tum ja base
chahaton ki KHushi ka chalan chhoD kar
dil ki dildariyon ki chubhan chhoD kar
ab ye tum hi kaho kaun kis ka nahin
kis ke dar tak nahin kyon kisi ki jabin
kis ne toDa mohabbat ke paiman ko
rog sa lag gaya ruh ko jaan ko
rang ki rup ki pyar ki rahaten
aaj mere liye ban gain hasraten
jaise un se koi wasta hi na tha
kis ke daman se uDti hai bu-e-wafa
kis liye pyar ka nam badnam hai
kis liye is jahan-bhar mein kohram hai
kin riwajon ne duniya mein bis bo diye
ishq ki dewiyan dewta ro diye
tum hi apne nahin kis se shikwe karen
ghair ki aag hai ab jien ya maren
oDhe phirte hain hum hasraton ka kafan
ho mubarak tumhein reshmi pairahan
han magar ishq wo hai ki jis ke liye
us ke gham mein na gae koi marsiye
jis se hairan ho zar bhi zardar bhi
taKHt bhi taj bhi aur talwar bhi
dekho ai husn-o-ulfat ke maro idhar
jaan-nawazo idhar jaan-nisaro idhar
koi meri tarah pyar haare nahin
husn ghairon ki duniya sanware nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.