najm-e-sahar
vaqt-e-sahar, ḳhāmosh dhuñdlakā naach rahā hai sehn-e-jahāñ meñ
tābinda, pur-nūr sitāre, jagmag jagmag karte karte
haar chuke haiñ apnī himmat, Duub chuke haiñ bahr-e-falak meñ
tārīkī ke tūfānoñ meñ apnī kashtī khete khete
lekin ik bā-himmat taarā ab bhī āñkheñ khol rahā hai
ab bhī jahāñ ko dekh rahā hai apnī mastāna nazroñ se
jaise kisī tālāb meñ lachke koī shagufta phuul kañval kā
jaise bele kī shāḳhoñ meñ duur se ek shagūfa chamke
vaqt-e-sahr, ḳhāmosh dhuñdlakā ek sitāra kaañp rahā hai
jaise koī bosīda kashtī tūfānoñ meñ Dol rahī ho
koī diyā raushan ho jaise qabristān meñ tāq-e-lahad par
jis kī lau anjām ke Dar se ghaTtī ho aur tharrātī ho
vaqt-e-sahar ḳhāmosh dhuñdlakā ek sitāra kaañp rahā hai
ruḳh par jis ke khel rahā hai ab bhī tabassum halkā halkā
vo aayā ik nuur kā dhārā jalvoñ kī būñdeñ barsātā
jagmag jagmag kartā kartā Duub gayā ma.asūm sitāra
waqt-e-sahar, KHamosh dhundlaka nach raha hai sehn-e-jahan mein
tabinda, pur-nur sitare, jagmag jagmag karte karte
haar chuke hain apni himmat, Dub chuke hain bahr-e-falak mein
tariki ke tufanon mein apni kashti khete khete
lekin ek ba-himmat tara ab bhi aankhen khol raha hai
ab bhi jahan ko dekh raha hai apni mastana nazron se
jaise kisi talab mein lachke koi shagufta phul kanwal ka
jaise bele ki shaKHon mein dur se ek shagufa chamke
waqt-e-sahr, KHamosh dhundlaka ek sitara kanp raha hai
jaise koi bosida kashti tufanon mein Dol rahi ho
koi diya raushan ho jaise qabristan mein taq-e-lahad par
jis ki lau anjam ke Dar se ghaTti ho aur tharraati ho
waqt-e-sahar KHamosh dhundlaka ek sitara kanp raha hai
ruKH par jis ke khel raha hai ab bhi tabassum halka halka
wo aaya ek nur ka dhaara jalwon ki bunden barsata
jagmag jagmag karta karta Dub gaya masum sitara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.