namkin laDDu
maañ kahtī hai
mujhe bachpan meñ mīThī chīzeñ bahut pasand thiiñ
pasand to ab bhī haiñ
magar ab namkīn chīzeñ zyāda bhātī haiñ
pichhlī baar jab maiñ shahr aa rahā thā
to maañ ne jo laDDū mujhe diye the
vo namkīn the
haañ namkīn
un laDDuoñ meñ maañ ne namak nahīñ milāyā thā
magar shāyad maañ kī āñkhoñ meñ jo samundar thā
us kā khārā paanī laDDū ke aaTe ko
giilā kar rahā thā
jab vo mere liye merī pasand ke
mīThe laDDū banā rahī thī
man kahti hai
mujhe bachpan mein miThi chizen bahut pasand thin
pasand to ab bhi hain
magar ab namkin chizen zyaada bhati hain
pichhli bar jab main shahr aa raha tha
to man ne jo laDDu mujhe diye the
wo namkin the
han namkin
un laDDuon mein man ne namak nahin milaya tha
magar shayad man ki aankhon mein jo samundar tha
us ka khaara pani laDDu ke aaTe ko
gila kar raha tha
jab wo mere liye meri pasand ke
miThe laDDu bana rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.