nanha munna tara
maiñ ne khiḌkī meñ se dekhā ik nanhā munnā taarā
maiñ ne us ko bulāyā maiñ ne us ko pukārā
yuuñ to chupke chaap khaḌā thā lekin mujh ko dekh rahā thā
shāyad vo bhī soch rahā thā mere dil meñ samā.egā
phir vo jugnū ban ke chamkā aur ākāsh meñ aise lapkā
jaise paañv paañv chal ke merī god meñ aa.egā
maiñ ne us ko pukārā maiñ ne us ko bulāyā
vo to kiran kiran mere ghar meñ chalā aayā
merā nanhā munnā taarā
vo hai saath nibhāne vaalā mujh ko TuuT ke chāhne vaalā
jab dil ġham se bojhal ho to merī aas bañdhātā hai
mujh se khele āñkh-micholī bāteñ kar ke bholī-bhālī
merā nanhā sā ham-jolī merā jī bahlātā hai
aisā achchhā sāthī paayā phir to merā dil bhī chāhā
maiñ bhī duur karūñ añdhiyārā maiñ bhī ban jā.ūñ ik taarā
maiñ huuñ nanhā munnā taarā
main ne khiDki mein se dekha ek nanha munna tara
main ne us ko bulaya main ne us ko pukara
yun to chupke chap khaDa tha lekin mujh ko dekh raha tha
shayad wo bhi soch raha tha mere dil mein samaega
phir wo jugnu ban ke chamka aur aakash mein aise lapka
jaise panw panw chal ke meri god mein aaega
main ne us ko pukara main ne us ko bulaya
wo to kiran kiran mere ghar mein chala aaya
mera nanha munna tara
wo hai sath nibhane wala mujh ko TuT ke chahne wala
jab dil gham se bojhal ho to meri aas bandhata hai
mujh se khele aankh-micholi baaten kar ke bholi-bhaali
mera nanha sa ham-joli mera ji bahlata hai
aisa achchha sathi paya phir to mera dil bhi chaha
main bhi dur karun andhiyara main bhi ban jaun ek tara
main hun nanha munna tara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.