nanha sayyah
maiñ huuñ ik nanhā sayyāh
maiñ huuñ ik nanhā sayyāh
kashtī le kar lañgar le kar
kashtī biich samundar le kar
maiñ ghūmūñgā duniyā duniyā
london paris qustuntuniya
sair karūñgā dhīre dhīre
maiñ DhūñDūñgā na.e jazīre
maiñ huuñ ik nanhā sayyāh
maiñ huuñ ik nanhā sayyāh
mujh meñ hai kaafī bal buutā
maiñ huuñ nanhā ibn-e-batuta
maiñ pākistānī albelā
vasco da gama kā chelā
america kī sair karūñgā
africa kī sair karūñgā
maiñ huuñ ik nanhā sayyāh
maiñ huuñ ik nanhā sayyāh
DhūñDūñgā vo ḳhitta koī
naam nahīñ hai jis kā koī
saḳht vahāñ ke saude hoñge
ghoḌe jaise paude hoñge
raqs karūñgā un yāroñ meñ
rahte hoñge jo ġhāroñ meñ
maiñ huuñ ik nanhā sayyāh
maiñ huuñ ik nanhā sayyāh
likkhūñgā maiñ niil ke qisse
bāteñ kartī chiil ke qisse
congo aur katanga jā kar
jangal jangal patte khā kar
niile patthar le ā.ūñgā
pariyoñ ke par le ā.ūñgā
maiñ huuñ ik nanhā sayyāh
maiñ huuñ ik nanhā sayyāh
rocket par jaanā hai mujh ko
chāñd nagar jaanā hai mujh ko
utregī jab chāñd pe gaaḌī
chaal chalūñgā aaḌī aaḌī
chāñd kī miTTī bhar lā.ūñgā
chāñd ke patthar lā.ūñgā
maiñ huuñ ik nanhā sayyāh
maiñ huuñ ik nanhā sayyāh
main hun ek nanha sayyah
main hun ek nanha sayyah
kashti le kar langar le kar
kashti bich samundar le kar
main ghumunga duniya duniya
london paris qustuntuniya
sair karunga dhire dhire
main DhunDunga nae jazire
main hun ek nanha sayyah
main hun ek nanha sayyah
mujh mein hai kafi bal buta
main hun nanha ibn-e-batuta
main pakistani albela
wasco da gama ka chela
america ki sair karunga
africa ki sair karunga
main hun ek nanha sayyah
main hun ek nanha sayyah
DhunDunga wo KHitta koi
nam nahin hai jis ka koi
saKHt wahan ke saude honge
ghoDe jaise paude honge
raqs karunga un yaron mein
rahte honge jo ghaaron mein
main hun ek nanha sayyah
main hun ek nanha sayyah
likkhunga main nil ke qisse
baaten karti chil ke qisse
congo aur katanga ja kar
jangal jangal patte kha kar
nile patthar le aaunga
pariyon ke par le aaunga
main hun ek nanha sayyah
main hun ek nanha sayyah
rocket par jaana hai mujh ko
chand nagar jaana hai mujh ko
utregi jab chand pe gaDi
chaal chalunga aaDi aaDi
chand ki miTTi bhar launga
chand ke patthar launga
main hun ek nanha sayyah
main hun ek nanha sayyah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.