nannhi aarzu
apne allāh se lau lagā.ūñ maiñ
zindagī ḳhūb-tar banā.ūñ maiñ
sab ko apne gale lagā.ūñ maiñ
ek bachche kī aarzū hai ye
ek bachche kī justujū hai ye
nekiyoñ ko jahāñ meñ aam karūñ
bas yahī kaam sub.h-o-shām karūñ
jag meñ raushan vatan kā naam karūñ
ek bachche kī aarzū hai ye
ek bachche kī justujū hai ye
saarī duniyā ke kaam aa.uuñ maiñ
bhūle bhaTkoñ ko rah dikhā.ūñ meñ
sab ko paiġhām-e-haq sunā.ūñ meñ
ek bachche kī aarzū hai ye
ek bachche kī justujū hai ye
sab se pesh aa.uuñ maiñ sharāfat se
baat sab se karūñ mohabbat se
pyaar ho mujh ko ilm-o-hikmat se
ek bachche kī aarzū hai ye
ek bachche kī justujū hai ye
apne allah se lau lagaun main
zindagi KHub-tar banaun main
sab ko apne gale lagaun main
ek bachche ki aarzu hai ye
ek bachche ki justuju hai ye
nekiyon ko jahan mein aam karun
bas yahi kaam subh-o-sham karun
jag mein raushan watan ka nam karun
ek bachche ki aarzu hai ye
ek bachche ki justuju hai ye
sari duniya ke kaam aaun main
bhule bhaTkon ko rah dikhaun mein
sab ko paigham-e-haq sunaun mein
ek bachche ki aarzu hai ye
ek bachche ki justuju hai ye
sab se pesh aaun main sharafat se
baat sab se karun mohabbat se
pyar ho mujh ko ilm-o-hikmat se
ek bachche ki aarzu hai ye
ek bachche ki justuju hai ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.