napoleon ke mazar par
kitnī raushan kyuuñ na ho 'āzād' āḳhir ek din
sham-e-hastī maut ke jhoñkoñ se gul ho jā.egī
jaise gahvāre meñ so jaatā hai tifl-e-shīr-ḳhvār
ziist āġhosh-e-ajal meñ is tarah so jā.egī
maah o aḳhtar haiñ ḳhajil jis se vo chiñgārī zarūr
ik na ik din ālam-e-zulmāt meñ kho jā.egī
lekin is zulmat-kade meñ ek nuur aisā bhī hai
gardish-e-ayyām jis ke paas aa saktī nahīñ
ek aisā bhī hai lauh-e-vaqt par naqsh-e-davām
koī shai bhī jis ko aalam se miTā saktī nahīñ
maut jhoñke le ke uTThe yā bagūle le ke aa.e
azmat-e-kirdār kā sho.ala bujhā saktī nahīñ
kitni raushan kyun na ho 'azad' aaKHir ek din
sham-e-hasti maut ke jhonkon se gul ho jaegi
jaise gahware mein so jata hai tifl-e-shir-KHwar
zist aaghosh-e-ajal mein is tarah so jaegi
mah o aKHtar hain KHajil jis se wo chingari zarur
ek na ek din aalam-e-zulmat mein kho jaegi
lekin is zulmat-kade mein ek nur aisa bhi hai
gardish-e-ayyam jis ke pas aa sakti nahin
ek aisa bhi hai lauh-e-waqt par naqsh-e-dawam
koi shai bhi jis ko aalam se miTa sakti nahin
maut jhonke le ke uTThe ya bagule le ke aae
azmat-e-kirdar ka shoala bujha sakti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.