naqadi kahan se aaegi
pahle rāteñ itnī lambī kab hotī thiiñ
jo bhī hisāb aur khel huā kartā thā
sab mausam kā thā
roz-o-shab kī har saa.at kā ik jaisā paimāna thā
apne milne vaale saare
jhūTe sachche
yāroñ se ik mustahkam yārāna thā
lekin
apne dard kī samtoñ kī pahchān na rakhne vaale dil
ye sochnā thā
har ḳhvāb kī qīmat hotī hai
aur ab in do āñkhoñ meñ itne
tarah tarah ke
duniyā bhar ke ḳhvāb bhare haiñ
in meñ se ik ik ko gin kar
sab ke munāsib daam chukānā
is ke liye to do sadiyāñ bhī kam hoñgī
kañgle
itnī naqadī kahāñ se aa.egī
pahle raaten itni lambi kab hoti thin
jo bhi hisab aur khel hua karta tha
sab mausam ka tha
roz-o-shab ki har saat ka ek jaisa paimana tha
apne milne wale sare
jhuTe sachche
yaron se ek mustahkam yarana tha
lekin
apne dard ki samton ki pahchan na rakhne wale dil
ye sochna tha
har KHwab ki qimat hoti hai
aur ab in do aankhon mein itne
tarah tarah ke
duniya bhar ke KHwab bhare hain
in mein se ek ek ko gin kar
sab ke munasib dam chukana
is ke liye to do sadiyan bhi kam hongi
kangle
itni naqadi kahan se aaegi
- Book : pushtara (Pg. 112)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.