naqqad
naqqād se milnā hai ḳhatarnāk ki har-dam
vo hālat-e-tabḳhīr-e-taḳhayyul meñ milegā
din raat vo ik ḳhaas akaḌfūñ kī adā se
zehniyat-e-ma.akūs ke farġhul meñ milegā
bas ek hī mehvar pe vo nāchegā hamesha
jab dekhiye girdāb-e-taqābul meñ milegā
kaifiyyat-e-qabz us kī tabī.at meñ rahegī
zehn us kā mazāfāt-e-ta.attul meñ milegā
lailā-e-suḳhan paas phaTakne jo na degī
uljhā huā tanqīd ke kākul meñ milegā
kavvoñ ke suḳhan par vo taqārīz likhegā
aur maz.haka-e-naġhma-e-bulbul meñ milegā
yā raat ko bistar pe vo baiThā huā ukḌū
pencil liye tanqīs-e-taġhazzul meñ milegā
naqqad se milna hai KHatarnak ki har-dam
wo haalat-e-tabKHir-e-taKHayyul mein milega
din raat wo ek KHas akaDfun ki ada se
zehniyat-e-makus ke farghul mein milega
bas ek hi mehwar pe wo nachega hamesha
jab dekhiye girdab-e-taqabul mein milega
kaifiyyat-e-qabz us ki tabiat mein rahegi
zehn us ka mazafat-e-tattul mein milega
laila-e-suKHan pas phaTakne jo na degi
uljha hua tanqid ke kakul mein milega
kawwon ke suKHan par wo taqariz likhega
aur mazhaka-e-naghma-e-bulbul mein milega
ya raat ko bistar pe wo baiTha hua ukDu
pencil liye tanqis-e-taghazzul mein milega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.